Sunday, March 29, 2009

Meri zindagi to firaq hai


Meri zindagi to firaq hai,wo azal se dil ka makeen sahi
wo nigah e shouq se door hai,rag e jaan se laakh qareeb sahi

humain jaan deni hai ik din,wo kisi tarah wo kahin sahi
humain aap khainchiay daar pe,jo nahi koi to humhi sahi

sar e toor ho sar e hashr ho,humain intzaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain,wo kabhi sahi wo kahin sahi

na ho unn per mera jo bas nahi, k yeh aashqi hai hawas nahi
main unhi ka tha main unhi ka hun,wo merey nahi to nahi sahi

jo ho faisla wo sunaaiye, isay hashr pe na uthaaiye
jo krain gay aap sitam wahan,wo abhi sahi wo yahin sahi ..


Enia

Wednesday, March 25, 2009


Jo na mil sakay wohi be-wafa
ye bari ajeeb si baat hai
jo chala gaya mujhay chor ker
wohi aaj tak meray saath hai

kare pyar...lub pe gila na ho
ye kisi kisi ka naseeb hai
ye karam hai os ka jafa nahi
woh juda bhi reh ker kareeb hai
wohi aankh hai meray rubaru
usi haath main mera haath hai

mera naam tak jo na le saka
jo mujhay qaraar na de saka
jisay ikhtiyar to tha magar
mujhay apna pyar na de saka
wohi shakhs meri talaash hai
wohi dard meri hayat hai

Jo na mil sakay wohi be-wafa
ye bari ajeeb si baat hai
jo chala gaya mujhay chor ker
wohi aaj tak meray saath hai......

Enia

Khush To Hoon Lekin

Liya tha aik wada tumne mujse....
Hamesha khush hi rehna hai...
To dekho, dekh lo aa kar..
Meri ankhon ko dekho tum,
Yeh kitni shokh lagti hain...
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuraty hain...
Koi b ghum agar aye,
Usay hans kar saha main ne...
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pur sakoon ho ga...
To socho gay.....
Kia tha main ne jo tumse,
Wo wada ker diya poora...!!!
MAGAR
Ik baat hai ...
Kabhi jo waqat mil jaye,

To meri shairi parhna...
Tumhain mehsoos to hoga,
Kaheen talkhi bhara jumla...
Kaheen yeh sard sa lehja,
Kaheen par dard ki jheelain...
Kahin lehjay ki karwahat,
Suno....!!!
Main khush to hoon lakin,
Lahoo har lafz roota hai...

Enia

Yaad AAya

Koi Waqt Purana Yaad Aya !!
Phir Dour Sohana Yaad Aaya !!
Or Chupkay Se In dewaron Pe !!
Kuch Likh Kar Jana Yaad Aaya !!
Tera Milna Neend Ki Chaaon Mein !!
Or Sir Rakh Dena Kandhay Per !!
Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Le !!
Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya !!
Aisa Bhi Tu Aksar Hota Tha !!
Mein Tuj Ko Chorne Jata Tha !!
Barish ki Bheegi Raaton Mein !!
Tera Hath hilana Yaad Aaya !!
Wo Waqt Gaya Betay Lamhe !!
Ab Her Janib Tanhai Hai !!
Bas Ek hi Manzar Ankhon Mein !!
Tera Chor Ke Jana Yaad aaya !

Enia

Saturday, March 14, 2009

Pyar Kise Tum Kehte Ho


Khamosh zuban ke lafzon mein
kuch posheeda se batein hain
In posheda si baton mein
kuch chahat ki barsatein hein
IN baton ko hum muddat se
seeney mein chupa ke beithy hain
kuch paye bina kuch kho deina
ye pyar me hum ne seekha hy
Suraj mein chand sitaron mein
her shay mein tumhi ko dekha hain
dhadkan mein naghma ban kar
sagar ki tarah tum behtey ho
ye pyar nahi to tum hi kaho
Phir pyarr kisy tum kehtey ho

Enia

Yahi Sochta


woh khaloos tha ke khumar tha
woh junoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zamana laga
mujhey munzilon ne bhoola diya

mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya
kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar

meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai
woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey

jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de

mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafaki talaash hai
magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei

mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya


Enia

Khush Hai

Barishon ka moasam hay
roOh ki fizaOn main
Ghamzada hawaOn main
be-sabab udasi hay
is ajeeb moasam main
be-Qarar raton ki
be-shumaar batain hain
un-Ginat fasanay hayn
jo bohat khamoshi se
dil pe sehtay phirtay hain
aur be-amar majboori
sab se kehtay phirtay hain
aaj moasam acha hay
aaj hum bohat khush hai.


Enia

Dard Wafa Karta Hai

Jab tera dard mere sath wafa krta hai,
Ek samander meri ankhon say baha kerta hai,
Us ki batain muje khushbu ki tarha lagti hain,
Phool jese koi sehra main khila kerta hai,
Mere pyar ki pehchan yehi kafi hai,
Wo her ek shakhs ko danista khafa kerta hai,
Aur to koi sabab us ki mohabat ka nhi,
Baat itni hai k woh muj say jafa kerta hai,
Jab khazan aee to lot aey ga wo bhi FARAZ ,
Wo baharon mei zara kam hi mila kerta hai.


Enia

Tum Na Jaan Paoge

kaarobaar e ulfat main
sood kiya ziyaan kiya hai
tum na jaan paao ge

shaher k dukaan daro..!!

dill k daam kitne hain
khawaab kitne mehnge hain
aur naqd e jaan kiya hai
tum na jaan paao ge

shaher k dukaan daro...!!

koyi kaisse miltaa hai
phool kaisse khiltaa hai
aankh kaisse jhukti hai
saans kaisse rukti hai
kaisse rah nikalti hai
kaisse baat chalti hai
shouq ki zubaan kiya hai
tum na jaan paao ge


shaher k dukaan daaro...!!

wasl ka sakoon kiya hai
hijr ka janoon kiya hai
husn ka fusoon kiya hai
ishq k daroon kiya hai
tum mareez e daanayi
maslihat k shaidaayi
raah e gumm rahaan kiya hai
tum na jaan paao ge


shaher k dukaan daro...!!

zakhm kaisse phalte hain
daagh kaisse jalte hain
dard kaisse hotaa hai
koyi kaisse rotaa hai
ashk kia hain naaley kiya
dasht kia hain chaaley kiya
aah kia fughaan kiya hai
tum na jaan paao ge


shaher k dukaan daro..!!


jaantaa hoon main tum ko
zouq e shairii bhi hai
shakhsiyat sajaane main
ik ye maahirii bhi hai
phir bhi harf chuntey ho
sirf lafz sunte ho
in k darmiyaan kiya hai
tum na jaan paao ge

shaher k dukaan daaro
kaarobaar e ulfat main
sood kiya ziyaan kiya hai
tum na jaan paao ge

Enia

Kya Maange

Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange,
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange.

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee.
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange.

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho.
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange.

Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye.
Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange.

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab.
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange .

Enia

Hansi Bhool Chuka Hoon

Dushman ko bhi Seenay se lagana nahi bhoole
Hum apne Buzargon ka Zamana nahi bhoole

Tum Aankhon ki Barsaat bachaye hoye rakhna
Kuch Log abhi Aag lagana nahi bhoole

Yeh Baat alag, Haath Qalam ho gaye apne
Hum Aap ki Tasveer banana nahi bhoole

Ek umar hoi mai to Hansi bhool chuka hoon
Tum ab bhi Mere Dil ko Dukhana nahi bhoole

Enia

Thursday, March 12, 2009

Mere Aage...


Baazeechaa-e-aetfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage


hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

Enia

Friday, March 6, 2009

Mohabbat Aaadat kar di,,,

Jab tera hukam mila tark mohabbat kar di
dil magar is par woh dharka k qayamat kar di

tujh se kis tarha main izhaar e tamanna karta
lafz soojha tou maani ne baghaawat kar di

main tou samjha tha laut aatay hain jaanay waalay
tu ne ja kar tou judai meri kismat kar di

tujh ko pooja hai k asnaam parasti ki hai
main ne wahdat k mafaheem ki kasrat kar di

mujh ko dushman k iraadon par bhi pyaar aata hai
teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di

pooch baitha hoon main teray koochay ka pata
teray haalaat ne kaise teri soorat kar di


Enia

Chahat K shauq Mein

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main*
manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main

nafrat hi pehr e daar mili har makaam par
jis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main

ham baargah e ishq main maqbool youn hue
khud se bichar gaey teri qurbat k shauq main

lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheer
niklay thay ghar se ik musarrat k shauq main

apnay chaman se raabta bilkul nahi raha
sehra norad ho gaey daulat k shauq main

daaman main hasraton k siwa kuch nahi
aisay lutay hain ham teri chahat k shauq main

Enia

Na They Aise...

Gayee ruton mein to shaam-o-sahar na they aise
Ke ham udaas bohat they magar na they aise

Yahan bhi phool se chehre dikhayee dete hain
Ye ab jo hain yehi deewar-o-dar na they aise

Miley to khair na milne pe ranjishein kaisi
Ke us se apne marasim they par na they aise

Hamee they jo tere aane talak jaley warna
Sabhi charagh sar-e-rahguzar na they aise

Dil-e-tabah tujhe or kya tasalli dein
Tere naseeb tere chaaraagar na they aise

Faraz khush ho ke ahsaan us sitamgar ke
Jo tujh pe hain wo kisi or par na they aise

Enia

Kuch Nahi Raha

NaKaam Hasraton Ke Siva Kuch Nahi Raha
Dunia Main Ab Dukhon Ke Siva Kuch Nahi Raha

Ek Umar Ho Gayee Hai Ke Dil Ki Kitab Main
Kuch Khushk Patton Ke Siva Kuch Nahi Raha

Yaden Kuch Is Tarha Se Sama’at Pay Chaa Gaeen
Pichli Rafaqton Ke Siva Kuch Nahi Raha

Lab See Liay Tu Apnay Hi Kamray Main Youn Laga
Khamosh Aayino Ke Siva Kuch Nahi Raha

Jazbay Tamam Kho Gaiay Lamhon Ki Dhool Main
Ab Dil Main Dharkanon Ke Siva Kuch Nahi Raha


Enia

Thursday, March 5, 2009

From Our Diary (12)



Na shikaytein na gila kare,
koi aisa shaks hua kare,
jo mere liye hi saja kare,
mujhi se baatein kiya kare,

Kabhi roye jaaye wo bepanah,
kabhi betahasha udaas ho,
kabhi chupke chupke dabe kadam
mere peechey aakar hasa kare.

Meri kurbatein meri chahatein
koi yaad kare kadam kadam,
main taweel safar mein hoon agar,
Vo wapasi ki dua kare.....

Koi aisa shaks hua karey...

From Our Diary (11)



Dost bankar b nahi sath nibhane wala,
wohi andaaz hai zalim ka zamane wala,

ab use log samjhtey hai giriftaar mera,
nahi jante hai vo dil todne wala.

Kya kahe kitna marsim tha humara usse,
Jo ek shaks hai mooh fer k jaane wala,

Khushi hoti thi to aa jati thi saari duniya,
Aaj tanha hoon to koi nahi aane wala,

Mainey dekha hai baharon mein chaman ko jaltey,
Hai koi khwaab ki taaber bataney wala,

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samjhtey ho,
Dost hota nahi har hath milane wala.

Enia

From Our Diary (10)

Palkon k kinare jo humne bhigoye hi nahi,
To wo samjhte hai k hum roye hi nahi,

Vo poochtey hai k kaun aata hai khwab mein tumhare,
Aur ek hum hai jo unki yaad mein raat bhar soye hi nahi.


Enia

Wednesday, March 4, 2009

From Our Diary (9)



AAnsoo nahi thamte hai aankhon mein abhi tak,
Jaatey hue rotey vo mujhe choor gaya tha,

Jaan deta tha meri har baat per lekin yunhi,
Besabab duniya se meri rukh mod gaya tha,

E-Kash koi jaa k usse poochey,
Yahan kiske sahare pe wo mujhe choor gaya tha.

Enia

From Our Diary (8)



Kya baat kahoon un aankhon ki jin aankhon per main marta hoon,
Vo aankhein jheel si aankhein hai jin mein doob k roz ubharta hoon,

Saare jahan mein aisi aankhein nahi jin aakhon per main marta hoon,
In aankon pe aansoon na aaye koi, kabhi koi gham na aaye koi,

Sada muskurati rahein ye aankhein har dam duaa ye karta hoon,
Kya baat hai un aankhon ki jin aankhon per main marta hoon.

Enia

From Our Diary (7)



Benaam sa ye dard thehar kyu nahi jata,
Jo beet gaya wo guzar kyu nahi jata,

Sab Kuch to hai kya dhoondhti rehti hai ye nigaahein,
Kya baat hai main waqt per ghar kyu nahi jata,

Vo ek hi chehra to nahi sare jahan mein,
Jo door hai vo dil se utar nahi kyu nahi jata,

Main apni hi uljhi hui raahon ka tamasha,
Jaatey hai sab jidhar main udhar kyu nahi jata,

Vo naam jo na jaane kab se,na Chehra na Badan hai,
Vo khwab agaer hai to bikhar kyu nahi jata.


Enia

Tuesday, March 3, 2009

Mukar Jana

Lafzoon Se Aag Lagana,Phool Khilana
Mein Janta Hoon
Harfoon Se Mehal Banana, Shehar Sajana
Mujhey Bhi Ata Hai
Fikron Se Jazbey Chalkana, Raaz Batana
Meri Dastaras Mein Hai
Jazboon Ko Hawa Dena Aur Sula Deney Ka
Mujehy Hunar Ata Hai, Mager Mujhey
Kachey Mehal Bana Ke , Jhootey Shehar Basana
Bin Khushbo Ke Phool Khilana
Bin Hiddat Ke Aag Lagana
Kisi Ke Jazbey Pamaal Karna
Muhabbaton Ke Raaz De Ker Mukkar Jana
Acha Nahi Lagta!

Enia

Mohabbat Taoul Di Uss Ne..


Mairey Israar Per Aakhir
Bohat Majboor Ho Ker Aaj
Mujhey Apni Nigaahon Ki
Udaasi Sonp Di Uss Ne
Bohat Be-bas Bohat Tanha
Bohat Bikhri Mohabbat Ki
Haqeeqat Khol Di Uss Ne
Khalish Jo Uss Ke Dil Mein Thi
Woh Abb Mairi Amanat Hai
Shikasta Lehjey Ki Jitni Thakan Thi
Bol Di Uss Ne
Mairi Kahtir Mujhey Apni Mohabbat
Keh Nahin Paya
Magar Aaj Apney Aansoo Say Mohabbat
Tol Di Uss Ne…..!

Enia

Jin Lamhon Mein

Kuch yadein hain un lamhon ki
Jin lamhon mein hum sath rahay
Khushiyoun say bharay jazabat rahay
Ek umar guzari hai hum nay
Jahan rotay huway bhi hanstay thay
Kuch kehtay thay
Kuch suntay thay
Hum roz subha jab miltay thay
Tu sub k chehray khiltay thay
Pur lutf wo manzar hota tha
Sab mil kar batein kartay thay
Hum socho kitna hanstay thay
Wo goonjh hamary hansanay ki
Ab aik purani yaad bani
Yeh batein hain un lamhon ki
Jin lamhon mein hum sath rahay
Enia

Khula Kafan


Meray daman ko ghamon say hee bhara rehnay do
Kuch der aur in zakhmon ko hara rehany do
Yeh tahaaif aur tasaveer bhalay lay jao
Apni batein apni yadon ko mera rehnay do
Agar yeh sach hai k tum paas nahi meray
Tu meray khwabon ko haqeeqat say juda rehnay do
Yeh roshni yeh ujalay ho mubarak tum ko
Mujhay dermiyan andheron k para rehnay do
Wo ayega abhi mujh ko alwida kehnay
Tum meray kafan ko kuch der khula rehnay do
Enia

Monday, March 2, 2009

Aazmaa

Tu apnay fun say meri chaah azma k dikha
Mein toot’ta hoon tu phir say mujhay bana k dikha
Teray badan mein laho ban k dorta hoon mein
Tujhay anaa ki qasam hai mujhay bhula k dikha
Mein itnay dard mein bhi qehqahay lagata hoon faraz
Tu aik dukh mein mujhay sirf muskura k dikha
Enia

Udas Mat Raha Karo...


Jaltay diye k samnay
Jhonkay hawa k dekh kar
Tum kyou udas ho gaye
Mausam khazan k dekh kar
Tum dukhon k soz ka
Mausom k rog ka
Dard mat saha karo
Udas mat hua karo
Yeh dard hain hayat k
Kuch rang kainat k
Kuch dukh ki tez barishein
Kuch phool hai nishat k
Tum phool bus chuna karo
Tum udas mat raha karo

From Our Diary (6)

Dosron ko hamari sazaein na day
Chandni raat ko bad duaein na day
Phool say aashqi ka hunar sikh lay
Titliyan khud rukeingee sadaein na day
Sub gunaho ka iqrar karnay lagay
Is qadar khubsorat sazaein na day
Motiyoun ko chupa sipiyoun ki tarah
Bewafaon ko apni wafaein na day
Mein bikhar jaon ga aansoun ki tarah
Is qadar pyar say bad duaein na day

ENIA

From Our Diary (5)


Vo Dil Hi Kya Jo Tere Milne Ki Duaa Na Kare,
Main Tujhko Bhool k Zinda Rahu Khuda Na Kare,

Rahega Sath Tera Pyaar Zindagi Bankar,
Ye or baat Hai Zindagi Wafa Karey Na Karey,

Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judayi mein,
Khuda Kisiko Kisise Mager Judaa Na Karey,

Ager Wafa Per Bharosa Rhae Na Duniya Ko,
To Koi Shaks Mohabbat Ka Hausla Na Karey,

Suna HaI Mohabbat Unko Duaa Det Hai,
Jo Dil Per Chot kahaya Mager Gila Na Karey.

ENIA

From Our Diary (4)

Baaad muddat use dekha logon ,
Wo zara bhi na badla logon,
Khush na tha mujhse bichad kar wo bhi,
Uske chehre pe likha tha logon,

Uski Aaankhein bhi keh deti thi,
Raat bhar wo bhi na soya logon,
Ajnabi banker jo guzra hai abhi,
Tha kisi waqt mein apna logon,

Dost to khair kaun kiska hai,
Usne dushman bhi na samjha logon,
Raat Bhar wo dard mere dil mein utha,
Subha tak chain na aaaya logon,

Pyaas fir sehraaon ki tez hui,
Fir Ambar Toot K Barsa Logon…….


Enia

From Our Diary (3)




Dard K phool bhi khilte hai bikhar jaate hai,
Zakhm kaise bhi ho kuch roz mein bhar jaate hai,

Us dareeche mein bhi ab koi nahi or hum bhi,
Sar jhukaye hue chup chaap guzar jaate hai,

Raasta roke hue khadi hai yahi uljhan kab se ,
Koi poooche to kahe kya k kidhar jaatey hai,

Naram awaaz,bhalii baatein Mohzaab Laheja,
Pehli Barish mein hi ye rang Utar jaatey hai….

ENIA

From Our Diary (2)


Kyu kisi or ko dukh dard sunaao apna,
Apni aankhon se bhi mein zakhm chupaaon apna,

Sher logon k bohut yaad hai Auron k liye,
Tu miley to main tujhe sher sunaaon apna,

Sochta hoon bujha doon main ye kamrey ka diya,
Apney saaye ko bhi kyu sath jagaoon apney,

Us ki talwaar ne wo chaal chali hai aisi ,
Paaon kate hai jo hath bachaaon apna.

From Our Diary 1


Bohut dino ki baat thi,
Shab bhar bahar thi,
Fiza bhi khush gawar thi,
Na jane kyu machal pada
Main apney ghar se chal pada,

Kisi ne mujhko rok kar,
Badi ada se tok kar,
Kaha k laut aa,
Meri kasam na ja,

Mager mujhe khabar na thi,
Maahol pe nazar na thi,
Na jane kyu machal pada
Main apney ghar se chal pada,

Fir shehar se main aa gaya,
Khayal tha k paa gaya,
Use jo mujhse door thi,
Magar meri zaroor thi,

Fir ek haseen sham ko,
Main chal pada salam ko,
Gali k rang dekh kar,
Nayee tarang dekh kar,
Mujhe badi khushi hui,

Main kuch isi khushi mein tha,
Kisi ne jhaank kar kaha
Paraye ghar se jaaye
Meri kasam na aaye,

Wo hi haseen shaam hai
Bahar jiska naam hai,
Chala hoon ghar ko choooor kar,
Na jaane jaauga kidhar,
Koi naheen jo rok kar,
Koi naheen jot ok kar,
Kahe k laut aa

MERI KASAM NA JAAA…
MERI KASAM NA JAAA….


Enia

Yaad Ki Wehshat.....

Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko

Sunday, March 1, 2009

Suno...


Wo Sarey Mosam Muhabtoon Ke Suno!
Main Jii Raha Hoon

Jaan Loo
.. Nami Ankhon Main Rehti Bhi Rahi To Kya
Main Abb Bhi Muskurata Hoon
Suno! Yeh Dil Keh Jiss Ko Dekh Na Paye
Yeh Mera Dil
Buht Se Daagh Rakhta Hai
Mager Phir Bhi Dhadakta Hai
Ke Main Ne Abb Bhi

Judaioon Ke Taweel Zard Mosmoon Main Bhi

Unn Meethi,Talakh Sari Yadoon Ko

Apny Damann Main Chunn Rakha Hai

To Kya Hua Hai
Jo Tum Ne Sab Kuch Bhulla Dya Hai

Wo Sare Mosam Muhabatoon Ke

Meri Mataye e Hayat Hain
Wo Puranye Lahmay
Tumhari Yadain,
Mera Assasa
Wo Sarey Mosam Muhabaton Ke
Wo Sari Batain
Tumhara Lehja
Gaye Huye Mah O Saal
Sarey
Wo Ehde E Rafta
Abhi Bhi Mutthi Main Qaid Hain
Wo Sabhi Sitarye Muhbaton Ke
Wo Istaarye
Wo Sabb Isharye
K Main Ne Abb Bhi
Judaioon Ke
Taweel Zard Mosmoon Main Bhi

Unn Meethi,Talakh Sari Yadoon Ko

Apny Damann Main Chunn Rakha Hai
To Kya Hua Hai

Jo Tum Ne Sab Kuch Bhulla Dya Hai

ENIA

Main Jo Mehka


Main Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us ne
Sabz Mosam Me Mujhe Zard Hawa Di Us Ne

Pehly Ek Lamhay Ki Zanjeer Se Bandha Mujh Ko
Or Phir Waqt Ki Raftar Barha Di Us Ne

Janta Tha K Mujhe Moat Sakoon Bakhshy Gi
Woh Sitamgar Tha So Jeeny Ki DUA Di Us Ne

Us K Hone Se Theen Sansain Meri Dugni Mohsin
Woh Jo Bichra To Meri Umar Ghata Di Us Ne!



Enia