Sunday, May 17, 2009

Talash Mein

Wafaon Ki Talash Mein,
Sadaon Ki Talash Mein,
Samundar Dekhe Dariya Dekhe,
Jungle Dekhe Sehra Dekhe,
Nahi Koi Mil Saka,
Jo TasQeen-E-Dil-O-Jaan Hota,
Mehekta Hua Armaan Hota,
Meri Dhadkano Mein Wo Basta,
Mere Jeene Ka Saaman Hota,
Meri Rooh Ka Wo Chain Hota,
Meri Zindagi Ka Unwaan Hota,
Wafaon Ki Talash Mein,
Zindagi Dar-Ba-Dar Bhatki,
Sukoon Ek Ek Pal Ko Tarsi,
Kabhi Door Khalaon Mein Khoyi,
Kabhi Samundar Ki Gehraiyon Mein Uljhi,
Aur Phir,
Wafaon Ki Talash Mein,
Bas Ek Samar Hi Haath Aaya,
Is Bhari Duniya Mein,
Wafa Ka Koi Wajood Nahi,
Pattharon Ke Hai Jism Saare,
In Mein Ehsaas Maujood Nahi,
Wafa FaQt Jis Ka Kaam Hai,
Maut Uska Naam Hai…

Enia

Rooo Pade


Bewaqt Ko Jhunjhlakar Ro Pade,
Khokar Kabhi Use To Kabhi Paakar Ro Pade,
Khushiya Hamare Paas Kaha Mustakil Rahi,
Bahar Kabhi Hase To Ghar Aakar Ro Pade,
Kab Tak Royenge Kisike Sog Mein Baithkar,
Hum Ye Khudko Kitni Baar Samjha Kar Ro Pade…

ENIA

Sath

Chaha tha us ko rooh ki gheraiyon k sath

Zinda hon apni zaat ki tanhaiyon k sath

Roka nahi tha us ko bicharrny k waqt bhi

Apni wafa py naaz tha sachaiyon k sath

Tujh ko bhula k apni he nazron mein gir gay

Ab samna hai karb ka,ruswaaiyon k sath

Mehky sada bahar ki soorat tera wajood

Tu muskuraay shaam ki ranaiyon k sath

enia

Nahi Kiya

Tery jany k bad tera intazar nahi kia
Juda ho kar tumsy khud ko beqarar nahi kia

Tum ny kaha tha kih pyar sirf mujhy karna
Tumhari khatir khud sy bhi pyar nahi kia

Jo bhi kaha tum ny ussy pura kar dala
Teri kisi bhi bat sy inkaar nahi kia

Mery chhahny par bhi tumny kuch na dia
Khamosh raha tum sy taqrar nahi kia

Tum sy jo pyar kia to teh dil sy kia
Maine to kabhi kuch bhi bekar nahi kia

ENIA

Alag


NA CHAHAT K JAZBAAT ALAG,
NA KHUSHION K LAMHAAT ALAG

NA PHOOL SI THEE MEHKAAR ALAG,
NA GUZRI KOI BAHAR ALAG

NA HONTON KI MUSKAAN ALAG,
NA DIL K AHD O PEMAAN ALAG

NA DIN ALAG NA IMAN ALAG,
NA SUR SANGEET ,NAGMAAT ALAG

THEE SARI BAAT LAKEERON KI,
MERE HAATH ALAG , TERE HAATH ALAG


ENIA

Kaha Karta Tha


SATH rota tha mery sath hansa karta tha

Wohi, jo mery dil me basa karta tha

MERI chaht ka talabgar tha wo is qadr k

Namazon me milne ki dua karta tha

Ek pal ka Bichrna b gavara na tha usko

ROTAY rotay wo mjhe khud se juda krta tha

MERAY dil me wo rha dhrkan ban kar

Or saye ki tarha sath chala krta tha

ROG-E-DIL jo laga baitha anjane main

MERE aghosh mai marne ki dua karta tha

BAT kismat ki hai jo juda ho gye hum

WRNA wo to mjhy Taqdir kaha krta tha!

ENIA

Ghazal Likhu..

Ghazal likhon k ishaar likhon,


Yehi tera andaz hai k payar likhon,


Agar apni qismat likhnay ka zara ikhtiyar ho mujhe,


To apnay naam k sath tujhe har bar likhu


ENIA

MERE HO JAO GAYE


Kya khabar thi , tum achanak hi juda ho jao gye

Kabhi mujh par marte they , kisi or par fida ho jao gaye

Ek tujhe hi to chaha tha apni zaat se barh kar

Ye socha b nahi k , mere liye saza ho jao gye


Main nahi puchon gi kabhi , tum se , mujhe chorne ka sabab


Mere ye puchne par ,tum shayad mujhse khafa ho jao gye

Main to isi me khush hoon k ,tum khush ho warna

Utha lon hath agar DUA k liye

TUM AB B MERE HO JAO GAYE

ENIA

Khwab-e-Zindagi


Ek Wahem Tha Dil Mein,
Shayad Kabhi Milo Tum,
Kuch Der Ruk Kar Puchho,
Beete Dino Ka Mausam,
Aawaz Mein Ho Larzish,
Aankhon Mein Ho Tajassus
Maze Ka Koi Lamha,
Shayad Atak Gaya Ho,
Sab Bhool Kar Bhi Shayad,
Kuch Yaad Aagaya Ho
Phir Main Tumhe Bataun,
Apni Khushi Ki Baatein,
Har Dukh Ko Chhupa Kar Dil Mein,
Aasoodgi Ki Baatein,
Wo Chand Chaudhveen Ka,
Taaron Bhari Wo Aankhein,
Dilkash Haseen Shamayein,
Maasoom Waardaatein,
Wo Pyar Ka Tasavvur
Wo Bandagi Ki Baatein,
Wo Roz Roz Marna,
Aur Zindagi Ki Baatein,
Tum Dukh Se Muskurao
Dhire Se Muskurao,
Dhire Se Paas Aao,
Sar Ko Jhuke Ke Apne
Chup Chap Loot Jao
Phir Main Bhi Muskuraun,
Mann Ke Diye Jalaun,
Dohraun Apne Dil Mein,
Taaluq Se Haqeeqat
Ek Khwab Zindagi Ka,
Haan Umar Bhar Jo Dekha,
Kabhi Ho Saka Na Pura,
Yunhi Reh Gaya Adhura,
Ek Khwab-E-Zindagi Tha

ENIA

Thursday, May 7, 2009

Samjha Bhi Paoge...

Ba-zahir Aam Lehjey Mein
Kaha Tha Mainey Jab Uss Say
"Badal Lo Raasta Apna
Juda Raahein Yahin Kar Lo
Humarey Chahney Na Chahney Say
Kuch Nahin Hota
Ye Hi Sach Hai Ke Hum Do Mukhtalif
Raston Ke Raahi Hain
To Phir Kyun Dil Ki Maanein Hum
Shuroo Mein Maanta Hoon Main
Aziyat Dil Ko Pohnchey Gi
Magar Phir Waqt Guzrey Ga
Sabhi Zakhmon Ko Bhar Dey Ga"
Mairey Iss Aam Say Lehjey Pay Woh
Ikk Pal Ko Chonki Thi
Mairi Aankhon Mein Aankhein Daal Kar
Hairat Say Poocha Tha
"Ye Sab Jo Keh Rahey Ho Khud Ko Ye Samjha Bhi Pao Gey?"

Bohat Hi Jee Kadhaa Kar Ke
Main Uss Dam Muskuraya Tha
Bohat Khud Pay Jabar Kar Ke
Main Uss Say Keh Ye Paaya Tha

"Mairi Tum Fikr Rehney Do
Sambhal Jaoon Ga Main Khud Hi
Sabhi Zakhmon Ko Sii Loon Ga
Bhula Kar Saari Baaton Ko
Akaila Bhi Main Jee Loon Ga"
Bohat Hi Be- yaqeen Aakhon Say
Uss Ne Mujh Ko Daikha Aur
Bina Ikk Lafz Boley Woh Gayi Aur Phir Nahin Aayi

Aur Abb Tark-e-Ta'aluq Ko
Agarchey Umar Beeti Hai
Magar Iss Dil Pay Uss Ki Zaat Ka
Jo Naqsh Qaaim Tha
Kabhi Dhundla Nahin Hota
Mujhey Mehsoos Hota Hai
Ke Jaisey Mairey Kaanon Mein
Woh Apni Bolti Aankhon Say
Sargoshi Si Karti Hai

"WO SAB JO KEH RAHEY THAY
KHUD KO WOH SAMJHA BHI PAAYE HO??"

ENIA

Barish...


Tum nay barishon ko mehAz barastay dekhta hai

Meinay aksar barishon ko kuch kehtay suntay dekha hai


Tum dekhtay ho barishon ki jal thal har saal


Meinay barsat ko baar haa palkon pay machaltay dekha hai


Kaisay mangon phir barasta sawan pany rab say


K in ankhon nay bastiyoun ko sawan mein ujartay dekha hai


Seekh gay hum barishon ko apnay andar utarnay ka fun


Aur phir sub nay hume har pal har dum hanstay dekha hai


ENIA

Bichar Gaye

Jo khayal thay na qiyaas thay,wohi loag humse bichar gaye
Meri zindagi ki jo aas thay, wohi loag humse bichar gaye

Jinhen manta hi nahi ye dil, wohi loag hain mere humsafar
mujhe har tarah se jo raaas thay, wohi loag humse bichar gaye

Mujhe lamha bhar ki rafakato'n ke azaab aur satayengay
Mere umar bhar ki jo piyaas thay , wohi loag humse bichar gaye

Yeh khayal saaray hain aarzi, yeh gulaab saaray hain kaagazii
Gul-e-aarzoo ki jo baaas thay, wohi loag humse bichar gaye

Jinhein kar saki na qabool main, woh shareek raah-e-safar huwe
Jo meri talab meri aas thay, wohi loag humse bichar gaye

ENIA

Khushboo



Khushbuu hai vo to chhoo ke badan ko guzar na jaaye
Jab tak mere wajood ke andar utar na jaaye

Khud phool ne bhi hoonth kiye apne neem-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye

[niim-vaa = half open]

Is Khauf se vo saath nibhaane ke haq mein hai
Khokar mujhe ye ladki kahi dukh se mar na jaaye


Palko ko us ki apane dupatte se poonch du
kal ke safar mein aaj ki gard-e-safar na jaaye


Main kis ke haath bheju use aaj ki duaa
Qaasid hawaa sitara koi us ke ghar na jaaye

ENIA

Wednesday, May 6, 2009

Kuch To...

Kuchh to hawaa bhi sard thi kuch tha tera Khayaal bhi
Dil ko Khushii ke sath sath hota raha malaal bhi


Sab se nazar bacha k vo mujh ko aise dekhata
Ek dafaa to ruk gayi gardish-e-maah-o-saal bhi

Dil to chamak sakegaa kya phir bhi taraash k dekh lo
sheeshaagaraan-e-shahar k haath ka ye kamaal bhii

[taraash=chisel/polish (stone); sheeshaagar=glazier/one works with glass]

Us ko na paa sake the jab dil kaa ajeeb haal tha
Ab jo palaT ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhii


Merii talab tha ek shaKhs vo jo nahi milaa to phir
Haath duaa se yu Gira bhool gayaa Sawaal bhi

[talab=quest/want]

Shaam ki naasamajh hawa pooch rahi hai ek pata
Mauj-e-hawaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhii


Us ke hi Baazuuon mein aur us ko hi sochate rahe
Jism ki Khvaahishon pe the rooh ke aur jaal bhi

ENIA

Mujhe ....


Kuu-ba-Kuu phail gayi baat shanaasayi ki
Us ne Khushbu ki tarah meri paziirayi ki
Kaise keh du ki mujhe chhorrd diyaa hai us ne
Baat to sach hai magar baat hai rusvayi ki
Vo kahi bhi gaya lauTa to mere paas aayaa
Bas yahi baat hai achchhi mere harajayi ki

Tera pehaluu tere dil ki tarah aabaad rahe

Tujh pe guzre na qayaamat shab-e-tanhaayi ki
Us ne jaltii hui peshaani pe jo haath rakhaa
Ruuh tak aa gayi taasiir Masiihaayi ki


ENIA

Thak Rahi Hoon...


Manzar hai wohi thathak rahi hoon
Hairat se palak jhapak rahi hoon
Ye tu hai ke mera vaham hai
Band aankhon se tujh ko tak rahi hoon
Jaise ke kabhi na tha taarruf
Yuu miltey hue jhijhak rahi hoon
Pahachaan main teri roshani hoon
Aur teri palak palak rahi hoon
Kyaa chain mila hai sar jo us ke
shaano' pe rakhe sisak rahii hoon
Ek umr hui hai Khud se ladte
Ander se tamaam thak rahi hoon.

ENIA