Thursday, August 27, 2009

Khaamoshi

Terey sheher k log jantey hain
mujhe darbadar karne ki rasm main
tamashaiyoo.n main ik tu bhi thi
aankhoo.n sey rawaa.n jis k anso they
baal bhi bikhrey they merey baloo.n ki tarha
zakhmoo sey choor tera badan bhi tha
surkh dorey they aankhoo.n main kuch is tarha
k janey kab sey roti rahi ho tum
kisi ki yaad main, kisi k intazaar main
chand chehra bhi tera murjhaya sa tha
tooti choriyoo.n k zakhm bhi they
gori kalaiyoo.n per teri kuch gehrey sey
terey sheher k log jantey hain
mujhe dar badar karne ki rasm main
tamashaiyoo.n main ik tu bhi thi
Suno Janaa.n!
main terey leye tu khud ko ganwa sakta hoon
main teri wafa per shaaki nahi hoon
magar ik cheez jo mujhe jeeney nahi deti
jis k jawab ka main
aj bhi muntazir hoon
mujhe dar badar karne ki rasm main
terey hontoo.n per pheeli khamoshi hai

Enia

No comments: