Thursday, August 27, 2009

Main Kya Karti ?

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karti?
Taweel hota gaya faasla main kya karti?

Har aik shakhs ko tha zaum-e-rahbari kitna
Bhatak raha tha mera qaafla main kya karti?

Gham-e-hayat, gham-e-ishq aur gham-e-janaan
Ulajh gaya tha har ik silsala main kya karti?

Tumharey sath kisey faisley ki fursat thi
Tumharey baad bhala faisla main kya karti?

Buhat sambhaal k rakha tha dil mein raaz tera
Woh ban k ashk jo girnay laga main kya karti?

Mujhi se mangney aaya woh le ke majhburi
Ab uss se us ki jafaa ka gilaa main kya karti?

Woh aansoon ki zubaan janta na tha meri...
Mujhe bayaan ka na tha hosla main kya karti?

Enia

No comments: