Wednesday, October 28, 2009

Ronaa...

Apne saaye se bhi ashqon ko chhupaa kar ronaa;
jab bhi ronaa ho ....charaagon ko bujhaa kar ronaa.

haath bhi jaate huye ..wo to milaa kar na gayaa;
maine chaahaa jise..... seene se lagaa kar ronaa.

tere deewaane kaa.... kyaa haal kiyaa hai gam ne..
..muskuraate huye logon mein bhi... jaa kar ronaa.

lod padh lete hain chehre pe likheen tahreerein;
itnaa dushwaar hai...logon se chhupaa kar ronaa...

ENIA

Monday, October 26, 2009

Nahi Gya ...

Rukhsat hua ..to...aankh milaa kar nahin gayaa;
wo kyun gayaa hai?..ye... bhi bataa kar nahin gayaa.
wo yun gayaa ..ki.. baad-e-sabaa yaad aa gayee;
ehsaas tak bhi humko dilaa kar nahin gayaa.
yun lag rahaa hai..jaise..abhi laut aayegaa;
jaate huye ..chiraag bujhaa kar nahin gayaa.
bas ek lakeer..... kheench gayaa darmiyaan mein;
deewaar raaste mein banaa kar nahin gayaa.
shaayad ...wo mil hi jaaye!..magar...justjoo hai shart;
wo...apne naqsh-e-paa ....mitaa kar nahin gayaa.....

ENIA

Rafta Rafta ...Dheerey Dheerey...

Har shammaa bujhi raftaa raftaa...har khwaab lutaa dheere dheere;
Sheeshaa na sahi..patthar bhi na tha..dil toot gayaa dheere dheere.

Barson mein maraasim bante hain...lamhon mein bhalaa kyaa tootenge..
Tu mujhse bichhudnaa chaahey to...deewaar uthaa dheere dheere.

Ehsaas hua barbaadi ka jab ........saare ghar mein dhool udi;
Aayee hai humaare aangan mein ...patjhad ki hawaa dheere dheere.

Dil kaise jalaa..kis waqt jalaa..humko bhi pataa aakhir mein chalaa;
Failaa hai dhuaan chupke chupke..sulgi hai chitaa dheere dheere.

Wo haath paraaye ho bhi gaye....ab door kaa rishtaa hai,
Aati hai meri tanhayee mein ....khushboo-e-hinaa dheere dheere.....

ENIA

Sunday, October 25, 2009

Tum Hotey To Kya Aisa Hota....

Ek din yun hua

k dil k tootay sheeshay chuntay chuntay

haath ghayal ho gaye meray

ankh dhundla gai ansuoon say

ab socha, ankhein kesay ponchoon

kay haath tou ghayal hein

phir achanak, kisi nazuk hawa k jhoonkay ki manind

khayal aa gaya tumhara

kay agar tum hotay aj

tou meray ansoon apni palkoon say chura letay

meray dil k tukray, apnay seenay say laga letay

.....

.....tab khud par hasi aur socha

"Tum hotay, tou kia aisa hota"????

ENIA

Saturday, October 24, 2009

Rehney Dey...

Yunhi Fasslon Ko Sajay Rakh.
Yehi Intazar Rehne De.

Mere Zehen-o-Dil K Sakun Per.
Mera Ikhtiyar Rehne De.

Teri Chahto Ka jo Dard Hai.
Ye Sub Khushi Se Qabool Hai.

Meri Chashm-e-Num Ka Guma Na Kar.
'Muje Askh Baar Rehne De.

Teri Bebasi Baja Sahi.
Meri Khush Fehmi Bhi Galat Nahi.

Tujhe Har Qadem Per Khushi Mile.
Mujhe So-Gawaar Rehne De.

Meri Guftugu Me Jo Dard Hai.
Wohi Dard Mera Naseeb Hai.

Main bhula Chuka Hon Dard Ko.
Mujhe B-Qaraar Rehne De

ENIA

Friday, October 23, 2009

Ankhein Bheeg Jati Hai...

Samander mein Utarta hoon Tou Ankhein Bheeg Jatii Hein
TErii Ankhoon Ko Parhta Hoon Tou Ankhein Bheeg Jati hein
Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chin GAi JAb Se
KOi Bhi Naam Likhta Hoon Tou Ankhein Bheeg Jatii HEin
Teri YAdoon Ki Khushboo KHirkiun Mein Rakhss kerti HEin
Tere GhAM mEIN sULAGTA hOON tOU ankhein Bheeg Jati Hein
Mein Hans K Jhel Leta Hon Judai Ki Sabhi Rasmein
Galey Jab US k Lagta Hoon Tou Ankhein Bheeg Jati hein
Na Jane Hogaya Hon Is Kaddar HAsas Mein Kab Se
Kisi Se Baat Kerta Hoon Tou Ankhein Bheeg Jati Hein
MEin Sara Din Masroof REhta honn Magar Junhiin
Kadam chokhat Pe rakha Hoon Tou Ankhein Bheeg Jati Hein
Tere Koochay Se Mera Taluk Wajbi Sa Hai
Magar Jab BHi Guzarta Hoon Tou Ankhein Bheeg Jati Hein
Hamara Nata Jab Se Kacha Hoa hai
Tumhein kisi k Saath dekhta Hoon Tou Ankhein Bheeg jati hein
Wo Haseen Din Jab Se Guzray Hein
Jab Bhi Yaad KErta Hoon Tou ankhein Bheeg JAti Hein


ENIA

KABHI...



kabhi teri rafaqat say nikalna hi nahin mumkin ...

kabhi daaman churaa laina bohat asaan lagta hai ..

kabhi tum roothte ho tou ajab mushkil see parti hai ...

kabhi tujhko mana laina bohat asaan lagta hai ...

kabhi samjha karoo kuch faisle halaat kartay hain ...

kabhi waday nibha laina bohat asaan lagta hai ...

kabhi kuch din tumharay bin guzartay hi nahin ...

kabhi muddat bitaa daina bohat asaan lagta hai ...

ENIA
Hum ko loota hai usse sheher nay aye jaan-e-wafa

jiski galyoon mein mhbt ka kuch hisaab na tha ...

woh jo rhetay thay mre saath hamesha din bhar

unke mazhaab mein wafaoon ka koi baab na tha ..

woh jo aankhoon mein mhbt ko lyee phirtey thay

unke dil mein woh nafray jiska hisaab na tha ...

main nay jisko bhi museebat mein maseeha jaana

jo diya usne, bara us say kuch azaab na tha ..

mujhay khayal tha ye log meray apnay hain

mager wahaan pay tou aisa koi riwaaj na tha ..


ENIA.

Kuch Bhi Nahi Karta...

mhbt na rahay tou raha kuch bhi nahin karta ..

kay itni tez aandhi mein bacha kuch bhi nahin karta ..

woh phir mujhsay rheta hai khafa na janay kiun ...

main jisko dekh lainay kay siwa kuch bhi nahin karta ...

mujhey ab yaad rakhna woh gavara hi nahin karrta ...

jisko main yaad rakhnay kay siwa kuch bhi nahin karta ...

ENIA

Wednesday, October 21, 2009

Rukhsat Karta...

Ek ...na ik roz ...to.... rukhsat kartaa;
mujhse ....kitni hi .....mohabbat kartaa.

sab rutein..... aa ke..... chali jaati hain;
mausam-e-gam ....bhi to.... hijrat kartaa.

bhediye.... mujhko...... kahaan paa sakte;
wo.... agar ......meri hifaazat kartaa.

mere... lahje mein ......guroor aayaa thaa;
usko... haq thaa... ki ....shikaayat kartaa.

kuchh to thi ....meri khataa ....warnaa..... wo kyon;
is tarah .........tarq-e-rafaaqat......... kartaa.

aur ....us se.... na rahi .....koi ...talab;
bas........ mere pyaar ki ........izzat kartaa

ENIA

Tuesday, October 20, 2009

Teri Firaaq

Tere firaaq k lamhay shumar kartay hovay
bikhar chalay hai tera intizzar kartay hovay ..

main bhi khush hoon koi ja kar usay yeh keh dain
aghar wo khush hai mujhy beqarar kartay hovay ,,..

main muskurata hova aiyenay main ubhronga
wo ro paray gi achanak singar kartay hovay ... !

ENIA

Tuesday, October 13, 2009

SHAAM UDHAAR DO..

Tumhain jab kabhi milain fursatain,mere dil se bojh utaar do
Main bohat dino se uddas hon mujhay koi shaaam udhaar doo

Mujhay apnay rooop ke dhoop do k chamak sakain mere khal-o-khad
Mujhay apnay rungg main rungg do,mere saray zungg utar dooo

Kisi or ko mere haaal se na gharaz hai na koi wastaaa
Main bikher gaya hon sameet lo,main biger gaya hon sanwar doo

Mere wehshaton ko berha diya judaiyon kay azaaaaab nayy
Mere dil pe haath rakho zara, mere dherkanoo ko qarar doo

Tumhain subha kaise lagi kaho,mere khwaishon kay dayar kee
Jo bhali lagi to yahen rahoo , isay chahaton se nikhaar dooo

Wahan gher main kon hai muntazir kay fiker ho dair sawair kee
Bari mukhtasir see ye raaat hai isay chandniii main guzaar doo

Koi baaat kerni hai chaand say kisi shaakhsaar kee ooot main
Mujhay raastay main yahen kahen kisi kunj-e-gull main utaar dooo !!

ENIA

Na Tujhey Mili...Na Mujhey Mili...

Asmaan Se Inayatein Na Tujhe Milein Na Mujhe Milein..
mohabbatoN sey raahateiN na tujhey mileiN na mujhey mileiN

hameiN aashiqi meiN sach mila hameiN zindagi meiN sab mila
magar be'wafaai ki aadateiN na tujhey mileiN na mujhey mileiN

udhar tu duwa meiN laga raha idhar meiN duwa meiN laga raha
par mannatoN sey haajateiN na tujhey mileiN na mujhey mileiN

thi aarzu kabhi saahiloN pe terey saath saath hum chal sakeiN
par samandaroN sey ijazateiN na tujhey mileiN na mujhey mileiN

jis zindagi ki khaahishoN meiN so rat'jagoN meiN sajood keiye
us zindagi ki bashaarateiN na tujhey mileiN na mujhey mileiN

hasratoN ke diyoN ko aag kabhi tu ney di kabhi meiN ney di
magar roshni ki alaamateiN na tujhey mileiN na mujhey mileiN

na to teray dard rukey kaheiN na meray zakhm bharey kabhi
sabar-o-shukar ki haalateiN na tujhey mileiN na mujhey mileiN

ENIA

Rehta Hai...

oii dhundla sa ik chehra meri ankhon main rehta hai
koi bhatka sa ik JuGnO mere khawabon main rehta hai

ik manoos si awaz mujhay sonay nahin deti
koii uljha sa ik jumla meri yadon main rehta hai

hay kis k shabnami anchal ki khushboo ab talak mujh main
koii ehsaas mehka sa meri sansoon main rehta hai

mujhay khud per nahin qabo na main kuch bol sakta hon
asar yeh kis k lafzon ka meri baton main rehta hai

december ki khunak ratain mujhay bechain rakhti hain
lamas ka aik haath ab tak meri sochon main rehta hai

hay dil bhi muztarib, ehsaas bhi, sochon ki uljhan bhi
yeh kis ki ankh ka ansoo meri ankhon main rehta hai ...

ENIA

Na Ho...

mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho

mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai
zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho

sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua
isi mod par mere vaaste vo chiragh le kar khada na ho

vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein
jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho

vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho

mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye
inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho

isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa
vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho

ENIA

Laut Aana....

Udaas shamoon ki siskion mai
Khabhi jo meri awaz sunna
Tu beete lamho ko yad kar k
Inhi fizao mai lout ana
Tum aya karte the khwaab ban kar
Khabhi mehekte the gulab ban kar
Main khushk honton se jab pukaro
Inhi adaon mai laout ana
Meri wafa ka pass rakhna
Mai khali hatho ko jab uthao
Meri duaon mai laut ana

ENIA

To Fir...

Yeh Dard mit Gaya To Phir....
Yeh Zakham Sil Gaya To Phir.....
Bichar k Sochta Hon mAin
wo Phir Se Mil Gaya To Phir.....
Main Titlion K Shehar Main
Rahoon To Mujh Ko Fikar hY
Wo Phool Jo Khila Nahi
khil Gaya To Phir.....
Tumhaian B kuch Nahi Mila
Mujhe B kuch Nahi Mila
Tamam Umar K Liye Yeh
Dard Mil Gaya To Phir....
Main Is Liye To Aaj Tak
Sawal B nA Kar Saka
Mere Sawal Ka Agar
Jawab Mil Gaya To Phir...

ENIA

Himmat K Qafiley...

Rokay kahan rukay hain himmat k Kaafiley
Bas yu hua k dil k zamaney badal gaye

Socha usay to hum ne na milnay ki thaan li
Dekha usay to saray bahaney badal gaye..........

ENIA

SHIKAYATEIN...

Ajab kashmakash k rastay hain
bari khatan yeh musafatain hain

main jis ki rahoon mei bich gai hun
usi ko mujh se shikayatein hain

shikayatain sab baja hain lekin
main kaisay usko yaqeen dilaon

usay bhulaon to mar na jaon
main is khamoshi k imtehan mei

kahan kahan se guzar gai hun
usay khabar b nai hai shayad
main dheray dheray bikhar rahi hun.....


ENIA

mY fAV......

Gham-e-zindagi teri raah mein,
shab-e-aarzo teri chaah mein,
jo ujar gaya woh basa nahin,
jo bichar gaya woh mila nahin,
jo dil-o-nazar ka suroor tha,
mere paas reh ke bhi door tha,
wohi ek ghulaab umeed ka,
meri shakh-jaan pe khila nahin..

ENIA

MUMKIN

mumkin jo agar hota.

ham tum ko bhula dete.

yaadon ko kafan de kar be waqt sula dete.

tum ko na sada dete.

is dil se tere dil tak deewar utha dete.

mumkin jo agar hota.

ham tum ko bhula dete.

ENIA

Vo...

VOH TUM na thay aik KHAYAL tha
MERI SOCH ka hi KAMAAL tha

Voh MOHABBATIEN Voh CHAHATIEN
MERI ULJHANOON ka hi JAAL tha

MERE DIL mien thien JO ROONAQIEN
VOH TERA hi HUSN O JAMAAL tha

JAWAB Jiss ka Mila nahin
VOH aisa hi AIK SAWAL tha

VOH Ajj Milla to Yoon laga
Yehi to hay VOH Jiss ka INTEZAAR tha

USSAY Yaad kaisay na Karay koi
USSAY Bhoolna to MOHAAL tha

AB USS ki Kiya MIEN MISAAL Doon
VOH TO APNI MISAAL AP THA...!!!

ENIA

WO JUDA ...MAIN JUDA

Yunhi ranjishon main guzar gaye;
kabhi wo khafa kbhi mai khafa;

Chahaton k mod per.
Kabhi wo ruka kabhi mai ruka.

Wohi rastay Wohi manzilen

Na usay khabar na mujhe pata.

Apni Apni anaa mei Gum.
Kbhi wo juda kabhi mai juda

ENIA

Thursday, October 8, 2009

EK LADKI...

Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se ja takraayi
Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi


Is baat se hai anjaani
Jab rait chamakti hai to
Lagti hai door se paani
Yeh phool hain sab kaaghaz ke
Lekin woh samajh na paayi

Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se ja takraayi


Keh do ke na baad mein rona
Kuch log hain jo peetal ke
Kehte hain woh khud ko sona
Yeh jhoot ka pul tootega
Aur gehri hai gham ki khaayi

Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se ja takraayi ....


ENIA

Ek Baat...

Ek baat kehni thi tujhse
Jo khudh se bhi na keh paaya
teri mohabbat ek saza hai
yeh aaj samajh main aaya

Kyun main tujhe khudh se
Juda nahi kar paata
Kyun teri yaadein ab
Dil se door nahi jaati

Kyun meri hansi ab
Labon pe khatum ho jaati
Kyun har umeed mujhe
Teri orr kheench laati

Pyar ki yeh kaisi keemat
Tu mujh se le rahi hai
Kya mujh se itni nafrat
Jo har lamha gham de rahi hai

Ab tu hi bataa
Ke mera kasoor kya hai
Tujh se mohabbat kar ke
Maine kya jurm kiya hai


ENIA

Kaise Sakoon Paoon..

kaise sakoon paoon jo tumhe na dekh paoon
kaise dil ko samjhaoon, jo tumhe na pass paoon
satatee hai mujhe meri apni hee wafain
dil ko aa jaata sakoon jo milti teri wafain
tharp thi hain yaadein aur berang hain nigahein
apne dil ke zakhm, kis kis ko mai deekhaoon
teri bewafai ko log kehte hain teri majboori
mai apni majboorian kahan tak ginaoon
meri wafaon ka mujhe ye sila mila hai
muffat mei huey badnaam aur dil chhalni hua hai
mila ke nazar ab tumhe aur kaun se gazal sunaoon
kaise sakoon paaon jo tumhe...


ENIA

Main Kabhi Na....

Jo chala gayi mujhe chord ker
main kabhi na us ko bhula sakaa..
wohi doorian, wohi faasle
main kabhi na in ko mita sakaa..
kya usey b mujh se pyar tha
ya tabassum us ka shauar thaa
wo koi ajeeb sawaal tha
jo meri samajh mein na aa saka..
meri zindagi ka sukoon thi
wo mere dil ka ik junoon thi
wo meri bandagi mera pyar thi
yehi baat na main us ko bta sakaa..
yehi sochta tha main raat bhar
jo kabhi miley gi wo raah per
to karun ga us se shikayatein
wo mili to lab bhi na hila sakaa..
jo chali gaye mujhe chord ker
main kabhi na usko bhula saka….


ENIA

Zindagi...

Bohut pehley se un kadmo ki aahat jaan letey hai
tujhe e zindagi hum door se pehchaan letey hai

Tabiyat Apni Ghabrati Hai Jab Sunsaan Raaton Mein,
Hum aise mein teri yaadon ki chadar taan letey hai,

Meri Nazrein Bhi aise Kaafiron ka Jaan o Eimaan Hai,
Nigahein miltein hi jo jaan or imaan letey hai...

Firaak Aksar Badal kar bhes milta hai koi kafir,
Kabhi hum jaan letey hai kabhi pehchaan letey hai..


ENIA

Tuesday, October 6, 2009

YAAD

Dil Ko Tumhari Yaad Say Aazaad Kiya Hai
Khud Ko Kabhi Aisey Bhi To Barbaad Kiya Hai

Kuch Soch Ke Jis Pal Tera Dil Zor Say Dharrkey
Ye Jaan Lena Hum Ne Tujhey Yaad Kiya Hai

Qabl Iss Ke Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye
Ye Qissa Hai Adhoora Iss Ka Kuch Anjam Ho Jaaye

Zara Socho Kahani Mein Faqat Kirdaar Hum Tum Hon
Suhaaney Raston Pay Chaltey Chaltey Shaam Ho Jaay

Na Yoon Har Ekk Ko Daikha Ker Ke Har Dil Khaas Ho Jaaye
Na Yoon Har Ekk Say Bhicarr Ke.. Aziyat Aam Ho Jaaye

Hawao! Uss Ki Khushboo Damanon Mein Bhar Ke Ley Aao
Woh Jo Raston Say Guzrey To Humein Ilhaam Ho Jaaye

Yehi Dastoor-e-Duniya Hai Yehi Har Baar Hota Hai
Koi Mash-hoor Ho Jaaye Koi Gumnaam Ho Jaaye …!

ENIA

WO LADKI

Dareeche se jhankti wo ladki,
Ajeeb dukh se bhari huyi hai,

Ki uske aangan me phool par,
Ek neeli titli mari huyi hai,

Kabhi azaanon me khoyi khoyi si,
Kabhi namaazon me royi-royi si,

Wo aise duniya ko dekhti hai,
Ki jaise us_se dari huyi hai,

Darod se mehki mehki saansen,
Wazzefe padhti hui wo aankhen,

Ki ek sham_e_ummid unme
Kayi baras se padi huyi hai,

Wo dukh ke chadar me lipti lipti,
Wo kale kapron me simti simti,

Mohabbat usne kisi se shayad
Meri tarha se ki huyi hai.

ENIA