Monday, November 30, 2009

Duniya Jise Kehtey Hai...

Duniyaa jise kahate hai jaaduu kaa khilonaa hai
Mil jaaye to miTTii hai kho jaaye to sonaa hai

Achchhaa saa koii mausam tanahaa saa koii aalam
har vaqt Ka ronaa to bekaar kaa ronaa hai

Barsaat kaa baadal to diivaanaa hai kyaa jaane
Kis raah se bachanaa hai kis chhat ko bhigonaa hai

Gham ho ki Khushii dono kuchh der k saathi hai
Phir rastaa hi rastaa hai hasanaa hai na ronaa hai..


NIDA FAZLI

Sunday, November 29, 2009

Ek Or Sitara

Kuch Yaad Hai Tum Ko Janaey Jaa?

Tum Mujh Ko Sitara Kehtay Thay...

Aur Toot'tay Taaray Ka Manzar..

Tumhein Kitna Acha Lagta Tha..!

Ab Jab Kay Haal Kuch Aisa Hai..

Kay Saath Tumharaa Chhot Chalaa!

Lo! Khush Ho Jaao Janey Jaa..

Ik Aur Sitaraa Toot Chalaa..!

ENIA

Saturday, November 28, 2009

Yaad Aata Raha

Woh Apni Sari Nafratein Mujhpe Lutata Raha,
Mera Dil Jissko Sada Muhabbatein Sikhata Raha,

Uski Yaad Ka Zara Yeh Pehlu Toh Dekho,
Mujhse Kiye waday Woh Kissi Aur Se Nibhata Raha,

Kuch Khabar Nahi Woh Shakhs Kya Chahta Tha,
K Taaluk Toh Kar Bhi Mujhko Aazmata Raha,

Tootay Hue Taaluk Mein Bhi Kitni Mazbooti Hai,
Main Jitna Bhulata Raha Woh Utna Yaad Ata Raha....!!!

ENIA

Dam...

Gam rahaa jab tak ki dam me.n dam rahaa
dil ke jaane kaa nihaayat Gam rahaa

husn thaa teraa bahot aalam fareb
Khat ke aane par bhii ik aalam rahaa

mere rone kii haqiiqat jis me.n thii
ek muddat tak vo kaaGaz nam rahaa

jaamaa-e-eharaam-e-zaahid par na jaa
thaa haram me.n lekin naa-maharam rahaa

[jaamaa-e-eharaam=robe worn on Haj; naa-maharam=immodest/impure]


With All Respect To Meer Taqi Meer

Dikhayi Diye Yun...

faqiraana aaye sadaa kar chale
miyaa.N Khush raho ham duaa kar chale

jo tujh bin na jiine ko kahate the ham
so is ahd ko ab wafaa kar chale

koii naa-ummiidaana karate nigaah
so tum ham se muu.Nh bhii chhipaa kar chale

bahot aarazuu thii galii kii terii
so yaa.N se lahu me.n nahaa kar chale

dikhaaii diye yuu.N ki beKhud kiyaa
hame.n aap se bhii judaa kar chale

jabii.n sajadaa karate hii karate gaii
haq-e-ba.ndagii ham adaa kar chale

parastish kii yaa.N taiin ki ayei but tujhe
nazar me.n sabo.n kii Khudaa kar chale

gaii umr dar ba.nd-e-fikr-e-Gazal
so is fan ko aisas ba.Daa kar chale

kahe.n kyaa jo puuchhe koii ham se "Meer"
jahaa.N me.n tum aaye the, kyaa kar chale


With All Respect To "MEER TAQI MEER"

Nahi Karta...

Yeh Dil Toh Dewana Tha K tum Per Agaya,
Warna Main Keemti Pathron Ko Bhi Uthaya Nahi Karta,

Ye Mana K Tum Haseen Ho Magar Yeh BHi Sun Lo,
Main Haseen Logo Se Dil Lagaya Nahi Karta,

Jis se Karti Hun Pyaar Bas Ek Hi Baar Karta Hun,
Baar Baar Main Bhi Kissi Ko Sataya Nahi Karta,

Tum Toh Apnay Ho Tumse KYa Parda,
Warna Main Raaz-e-Dil Kissi Ko Bataya Nahi Karta,

Tum Kehdo Toh Tumhare Liye Jaan Bhi Hazir,
Warna Main Zindgai Dao Par Lagaya Nahi Karta.....!!!!


ENIA

Friday, November 27, 2009

Koi Bat Nahi...

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi!!!!!


ENIA

Jawab ....

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main
Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main

Ab tak woh mere zehen main uljha sawaal hai
Shaamil rahi jo har ghari mere nisaab main

Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak
Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main

Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi
Aaye the simat ke faasle kitne saraab main

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila
Likha na aik harf bhi us ne jawaab main

ENIA

Mohabbat

Alfaz k jhoote bandan main
Raz k gheray pardon main
har shakhs Mohabat karta hai

halan ke mohabat kuch bhi nhin
sab jhoote Rishte nate hain
Sab dil rakhne ki batein hain
sab asli roop chupate hain

ehsas se khali log yahan
lafzon k teer chalatey hain
ik bar nazar main aa kar wo
phir sari umer rulate hain

ye ishq mohabat mehr-o-wafa
ye sab kehne ki batain hain

har shahks khudi ki musti main
Bus apni khatir jeeta hai…


ENIA

Bata Detey hai

youn hi tanhai main hum dil ko saza dety hain

naam likhty hain tera likh k mita dety dety hain

Jab bhi nakam mohobat ka koi zikar kary

dost hansty hain mera naam bata dety hain

ab khushi ki koi tarkib na sochy duniya

ab yeh allam hai kuch gum hi maza dety hain

ab tasli nahin di jati mareez-e-gum ko

dekhny waly bhi marny ki dua dety hain

kya zaroat hai barq ko yeh zehmat ho

lao hum khud hi nasheman ko jala dety hain



ENIA

Thursday, November 26, 2009

Roney Nahi Deti...

KAHIN KEFIYAT E JUNOON MEIN BHI GUM HONE NAHIN DETI
RAKHTI HEIN AANKHEIN HOSH MEIN AUR KHONE NAHIN DETI

YE TO TUJHE DEKH KER HI APNI RAHATEIN CHUN LETI THI
JALTI REHTI TO HEIN RAAT BHER, PER SONE NAHIN DETI

NA TUJHE PAATI HEIN NA KAHIN CHOR KE YE JATI HEIN
MUJHE APNA AUR TUJHE PARAYA KABHI HONE NAHIN DETI

EK TERI SOORAT HAI JO LE GAEE SUNG HER HASSI MERI
EK TERI AAWAAZ HAI JO MUJHKO ZARA RONE NAHIN DETI

YE JO ZINDAGI KE DAAMAN PER HASRATON KE DAGH HEIN
TERI KHAMOSHI MERI TANHAI INHEIN DHONE NAHIN DETI

JAGAE RAKHTI HEIN TERE INTIZAR MEIN RAAT BHER MUJHE
TU AAKER MUJHE SULA DE YE AANKHEIN SONE NAHIN DETI.......


ENIA

Itni Muddat Baad...

Itnii muddat baad mile ho
kin sochon mein gum rehtey ho

Tez havaa ne mujh se puuchhaa
Ret pe kyaa likhtey rehtey ho

Kaun si baat hai tum mein aisii
Itney acchey kyu lagate ho

Hum se na puuchho hijr ke qisse
Apanii kaho ab tum kaise ho????

ENIA

Sathi...

NA HOSAKE TUM HUMSAFAR, NA MIT SAKI YE BEBASI,
SHIKWA NAHIN KISI SE KE SHAYED KAM THI MERI BANDAGEE,

MUJHE TO MUKAMMAL KER DIYA TUM NE APNE EHSAAS SE,
BUS IK TAMANNA SE KHALI REH GAEE AAJ YE MERI ZINDAGEE,

KAASH KE SALAHIYAT HOTI MUJH MEIN THORI SI BHI TUM JESI,
MEIN KEH DETA SAB BHOOL KE KE TUM NAHIN KOI AUR SAHI,

HUM ITNE KAMZOR TO HUEY NA KABHI KE DETE QASOOR NASEEB KO,
YAHAN THORA SA THA ZARF KAM AUR THORI SI THI BEKHUDI,

HUM NE PAYA HUMESHA AURON SE APNEY HATHON KI LAKEEREIN KAM,
TERA GHUM MUJHEY KAAFI THA YA TAQDEER KI THI YE BERUKHI,

SAMAJHTEY HEIN TANHA O MAYUS HUMEIN YE ZAMANE WALE AKSAR,
MERE DIN KI SAATHI YAADEIN TERI AUR RAATON KO TUM HUM NASHEEN

ENIA

Monday, November 23, 2009

Chalo Kahi...

Chalo Door Kahin Chaltay Hain
Kahin Paerron Kay Saye Mein
Kahin Sapnoh Ki Waadi Mein
Ya Kahin Jheel Kinaray Par
Chalo Chaltay Hain Kahin Jana
Mohabbat Mehsoos Kartay Hain
Teray Kandhay Pey Sar Rakhay
Jo Baadal Chu Kay Guzrain Tho
Jo Baarish Hum Pey Barsay Tho
Bohatt Si Ankahi Batain Khamoshi Ki Zaban Mein
Bohat Aahista Say Janah Humaray Dil Mein Utar Ayain
kabhi Shabnam Pey Nangay Paon,
Teri Qurbat Kay Lamhoh Mein
Zamanay Bhar Say Be-Khabar
Kahin shehr-e-mohabbat ki zamin pay dono ja pohnchain
Nazar Mein Teira Chehra Ho
Fazaa Main Khusbu Humari Ho
Na Apni Khabar Tumhein Kuch Ho Na Apna Pata Mujhe Kuch Ho
Mohabbat Ki Khamoshi Ho,
Mohabbat Ki Kahani Ho


ENIA

Khwaab...Khyaal...

Woh Khuwab Tha Bikhar Gaya Khayal Tha Mila Nahin
Magar Iss Dil Ko Kya Huwa, Kyun Bujh Gaya Pata Nahin

Har Ekk Din Udaas Din Tamaam Shab Udaasiyan
Kisi Say Kya Bicharr Gaye Ke Jaisey Kuch Bacha Nahin

Woh Saath Tha To Manzilen Nazar Nazar Chiraag Theen
Qadam Qadam Safar Mein Abb Koi Bhi Lab Dua Nahin

Hum Apney Iss Mizaaj Mein Kahin Bhi Ghar Na Ho Sakey
Kisi Say Hum Miley Nahin Kisi Say Dil Mila Nahin

ENIA

Koi..

Koi Rutha Is Taraha ki Manaya na gaya.
Dhur itna ho gaya ki Bulaya na gaya.


Jane kya raaz hai unki yaad aati nahi.
Ye bhi sach hai ki wo bhulaya na gaya.


Dil tho dil hai samunder ka sahil nahi,
Likh diya uska naam phir mitaya na gaya.


Unhee ke naam par hum tabah ho gaye,
Apna keh kar bhi jise apna banaya na gaya

ENIA

Mujhey Tum Yaad ...

ZARA THEHRO!!! CHALLY JANA
mujhe tum sy kuch kehna hai
zyada waqat nahi loon ga

zara si bat karni ha
na dukh apny sunany hain
na koi fariad karni ha
na ye maloom karna ha
k halat ab kesay hain??

tumhary hamsafar thy jo
tuMhary sath kesay hain??

na ye maloom karna ha
teRy din raat kesa hain??

mujhe bss itna kehna ha

MUJHE TUM YAAD ATTY HO
BOHAT HI YAAD ATTY HO

ENIA

Saturday, November 21, 2009

Badnaam Ho Kar...

Sukun Mil Gaya Aaj Muje Badnaam Ho Kar,
Tere Har Ek Ilzaam Pay Yun Bezabaan Ho Kar...

Kya Hua Gar Bulaya Muje Beizzat Karne Ke Liye,
Khush Hu Main Teri Mehfil Me Mehman Ho Kar...

Log Parh Hi Lenge Mohabbat Teri Aankhoon Me,
Chahe Karle Lakh Inkar Tu Anjaan Ho Kar...

Ilzaam Muj Par Lagakar Khud Roye Ja Raha Hai,
Kya Payega Mera Hamdard Shar E Aam Ho Kar...

Mil To Gaya Suboot Muje Teri Mohabbat Ka,
Ab Afsos Nahi Tere Ishq Me Nakam Ho Kar....


ENIA

Friday, November 20, 2009

Likh Do...

Aik Baar kar k itabar Likh do
Kitna hai mujh se piyar Likh do,

Kati Nahi ye zindagi ab tere bin
Kitna aur karon Intazar Likh do,

Taras Rahay Hainbari Muddat se
Es Baar apni Mohabbat ka Izhar Likh do,

Deewany ho jain jise parh k hum
Kuch Aisa tum mere yaar Likh do

Ziyada nahi Likh saktay to mat Likho
Tum Muhabbat Baray Lafz 2,4 Likh do

Aik Baar Likho Mohabbat hai tum se
Phir ye Jumlah Baar Baar Likh do

ENIA

Thursday, November 19, 2009

19

Dil K Veranay Aakar Sajaye Ga,
Sacha Pyaar Hi Usay Meri Dehleez Par Layega,

Usay Khabar Karo K Hum Shehr Mein Ayein Hain,
Khush Toh Buhat Hoga Magar Mere Paas Na Aye Ga,

Kafan Mein Kuch Dair Mera Chehra Khula Hi Rakhna,
Meri Be-Basi Dekhnay Woh Zarur Aye Ga,

Woh Aye Toh Mere Janazay Se Usay Door Hi Rakhna,
Uska Udaas Chehra Mujhse Dekha Na Jaye Ga,

Meri Qabar Per Naam Ki Takhti Na Lagana,
Atay Jatay Mousam Usay Mera Gham Sataye Ga.....!!

ENIA

Bada Naam Kar Gaye!!!

Woh tabah haal, woh sar phirey bada naam ishq mein kar gaye
Teri justuju mein jo kho gaye, teri aarzoo mein jo mar gaye

Hai ravish ravish[Behaviour] mein shaguftagi[Freshness], kahin tazgi, kahin naghmagi[Melody]
Ye chaman se kiska guzar hua ke tamaam phool nikhar gaye

Sab giraniyaan tere saath theen, teri mehrbaniyaan saath theen
Teri aarzoo mein jahan rahey, teri justuju mein jidhar gaye

Kahein kis tarah se ye waqia, bara dukh bhara hai ye hadsa
Jinhein ham samajhte thay aashna, woh nazar chura ke guzar gaye

Rahey sahilon pe zaheer ham, kabhi iss tarah, kabhi uss taraf
Jo talash-e-zaat mein magan thay, woh bhanwar mein kaise utar gaye


ENIA

Wednesday, November 18, 2009

Dair Ho Chuki Thi...

Ek umer ke baad uss ko dekha !
Aankhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley [MEETING] samaa !
Simtee hui uss ke baazuoon mein
Ta dair sochtee rahi thee
Kisi abr[CLOUD]-e-guraiz paa ki khatir
Main kaise shajar[TREE] se katee rahi thi
Kiss chaoon ko tarq kar diya tha
Mein uss ke galey lagi hui thi
Woh ponch raha tha aansoon merey
Lakin bohot dair ho chukii theeeee


ENIA

Tuesday, November 17, 2009

Nahi Hoon...

"Tuu Zidd, aur Main Mizaaj chordtaa bhi nahin hoon ..
Tuu Yaad karnaa nahi Chahtaa, Main Bhuultaa bhi nahin hoon ..

Jub Sey Janaa, Ke Manzil Bardi Door hey,
Tuu Chalnaa nahi Chahtaa, Main Ruktaa bhi nahin hoon ..

Dil Ki Baat kabhi, Tum kaho aur Hum Sune,
Tuu kehnaa Nahin Chahtaa, Main chup Rehtaa bhi nahin hoon ..

Ajeeb Mukaam Pey, Ruk Gayi hey Daastaan,
Tuu Ronaa nahi Chahtaa, Main Hunstaa bhi nahin hoon ..

Aankh micholi kaa khel, Yeh to nahin hotaa,
Tuu Saamney nahi Aataa, Main chuptaa bhi nahin hoon ..

SaZaa Ya Maafi Hoo, Faislaa kesey ho??
Tuu Denaa nahin Chahtaa, Main Maangtaa bhi nahin hoon ...."


ENIA

Koi Baat Karo

Beet jaye na kahin rat koi baat karo
Janay phir kab ho mulaqaat koi baat karo
Bewafa mujh ko kaho ya koi shikwa hee karo
Hai gawar teri har baat koi baat karo
Rooth jao har bar tumhein mana lein gay
Kuch to samjho meray jazbat koi baat karo
Tujh ko dekha hai thamanay lagi zakhmon ki jalan
Do na dard ki soghat koi baat karo
Mausam-e-hijar mein viraan hai meray dil ki zameen
Pal mein ho jaye gee barsat koi baat karo


ENIA

Yaad Aye..

Kya khazanay meri jaan hijar ki shab yaad aaye
Tera chehra teri aankhein teray lab yaad aaye
Ek tu tha jisay gurbat mein pukara dil nay
Warna bichray huway ahbaab sabhi yaad aaye
Hum nay maazi ki skhawat pay jo pal bhar socha
Dukh bhi kia kiya humein yaron k sabab yaad aaye
Ab tu aankhon mein kuch dhool hai bus yaadon ki
Hum usay yaad bhi aaye tu kab yaad aaye
Bhool janay mein wo zalim hai bala ka maahir
Yaad aanay pay bhi aaye tu gazab yaad aaye
Yeh khanak rut yeh naye saal ka pehla lamha
Dil ki khuwahish hai k mohsin koi ab yaad aaye

ENIA

Meri Zindagi..

Meri zindagi meri jaan-e-jaan
Mujhay lay chalo kabhi uss jahan
Jahan tu hee mera naseeb ho
Jahan dil say tu hee kareeb ho
Jahan gham koi na aa sakay
Jahan nafratein na sata sakein
Jahan qurb ho jahan ho khushi
Jahan chahti ho humein zindagi
Jahan dil mera na udas ho
Jahan her ghari teri aas ho
Meri zindagi meri jaan-e-jaan
Mujhay lay chalo kabhi us jahan

ENIA

Khoney se...

Meri aankho pe marta hai
meri baton pe hansta hai

najany shakhs hai kesa
mujhy khony se darta hai..

wo jab bhi baat kerta hai
yehe her baar kehta hai

suno!!!!

agar mein bhool jaon tu
agar mein ruth jaun tu
kabhi wapis na aaon tu

bhoola pao gy ye sab kuch
yunhe hansty raho gy kia???
yunhe sajty raho gy kia????

yehe batein hain bas uski
yehe yadien hain bas uski

mujhay maloom hai itna
mujhy WO pyar kerta hai
mujhay khonay se darta hai........

ENIA

Nahi Deta...

Muhabat ke safer may koi bhi rasta nahin deta
Zameeen wakif nahin banti,falak saya nahin deta

Khushi aur dukh key mosam sab ke apnay apnay hote hain
Kisi ko apnay hisay ka koi lamhaaa nahin detaaaaaaaaa

Udaasii jis ke dil maaay ho usi ki neeeend urhti haaaa
Kisi ko apni ankhoooooon say koi sapna nahin deta

Uthaaana khud hi parhta ha thaka toootaa badan apnaaa
Ke jab tak sansssss chalti ha,koi kandhaaa nahin detaaa

ENIA

Dekhtey Rehna..

Mohabbat rang laye gi hamari dekhte rehna
abhi hoga Lahoo Ankhon se jari dekhte rehna
saza di he hamen us ne ghadi bhar muskurane ki
karenge umr bhar ab aah-o-zari dekhte rehna
abhi to ibteda-e-ishq he our jan ba lab hen hum
mita degi hamen ulfat tumhari dekhte rehna
patangon ki tarah hum ek pal men Jan nahi denge
juda hogi hamari Jan nisari dekhte rehna

ENIA

Badal Dalo

Taskeen na ho jis sey who raaz badal dalo
Jo raaz na rekh pay humraaz badal dalo
Tum nay bhi suni ho gi bari aam kahawet hey
Anjaam ka ho khetra aaghaaz badal dalo
Pur-souz dilon ko jo muskaan na dey paye
Sur hi na miley jis main who saaz badal dalo
Dushman k iraadon ko hey zahir agar kerna
Tum kheil wohi kheilo andaaz badal dalo
Aay dost karo himmet kuch door sawaira hey
Ger chahety ho manzil perwaaz badel dalo

ENIA

Mat Kar...

Muhabbeton k hasee’n fasany ki baat met ker
Tu is zamany main us zamany ki baat met ker
Bherem jo kaim hey dosti ka rehy to behter
Tu meri maan usko aazmany ki baat met ker
Muhabbeton k liyeh hakaaik nehin bedelty
Tu panion main dia jalany ki baat met ker
Kabooliet ka hey konsa pal kisey khabar hey
Mazak main bhi ay yaar jany ki baat met ker
Tu or jo bhi kahy ga main maan lon ga
Bess iltija hey usy bhulany ki baat met ker


ENIA

Saturday, November 14, 2009

Kabhi ...

Kabhi aah lab se machal gaye, kabhi ashq aankh se dhal gaye
Yeh tumhare gam ke charag hai, kabhi buj gaye kabhi jal gaye..

Mein khayal o Khawab ki mehfilein, Na ba qadr shokh saja sakha
Teri Ik nazar ke sath hi mere sab iraadey baal gaye..

Kabhi Rang mein Kabhi Roop mein, Kabhi Chaoon mein Kabhi Dhoop mein
Kahin aftab e nazar hai woh, kabhi mehtaab mein dhal gaye...

Jo fana hue gam e ishq mein, unhein zindagi ka na gam hua
Jo na apni aag mein jal sakhe, woh parrai aag mein jal gaye...

Hai tumhe bhi meri tarah junoon, to phir un mein mujh me yeh farq kyun
Mein Dareft e gam se na bach sakha, woh wajuub gam se nikal gaye...

ENIA

Accha Laga!!

Door reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe acha laga...
tu bata ,aakhir tujhe yeh waaqiaa kaisa laga?

Itne faslay mein bhi hain teri qurbat ke mazay....
tujh se milna,tujh ko chahna mujhe acha laga?

Silsalay teri yaadun ke phailay hain har taraf...
teri chah,teri raah mein bhatakna mujhe acha laga?

Raakh urrne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadun ki...
shaam dhalay teri yaad ke deep jalana mujhe acha laga?

Kaise kahun tere bin dasti hai mujh ko tanhaii...
teri ulfat,teri furqat mein ratt-jaga karna mujhe acha laga?

Woh aanch thi hawa mein ke kali tak bhi sulagg gaii...
aise mein tera ghatta ban ke barasna mujhe acha laga?

Faaslay mitt na paaein ge inn dooriun ke kabhi...
tasawar mein tera aa ke dil ko behlana mujhe acha laga..

ENIA

Roya!!!

Ya tO rOte na the ab rOye tO aisa rOye
Jaise farzand-e-jawaan kO kOi dukhiya rOye

Inqalab aaye ga kya aik mere rOne se
Baat tO jab hai mere sath ye duniya rOye

Wo mere hijar mein sunta hoOn kuch aisa rOya
Jis tarah mele mein bichra hua bacha rOye/

ENIA

Friday, November 13, 2009

Doo Harf...

Kaha Usnay Ruko Ab Tum
Bohat Mill Kar Chalay Hum Tum
Bohat Kuch Pa Liya Hum Nay
Bohat Kuch Kho Diya Hum Nay
Suna Yeh To Bohat Roye
Bohat Ziddi Ho Tum Lekin
Tumhari Yaad Ab Tak Bhi
Hamein Baytaab Rakhti Hay
Magar Ab Yeh Bhi Suntay Hein
Tumhari Rah Roshan Hay
Tumhein Mil Jayega Koi
Magar Afsoos !!! Hum Jesa
Agar Pao Kahein Jo Tum
Mujhay Do Harf Likh Dena...

ENIA

Thursday, November 12, 2009

Jaise...

Aise chup hein ke ye manzil bhii karrii ho jaise
Teraa milnaa bhii judaa_ii ki gharri i ho jaise

Apne hii saaye se har daam laraz jaataa huuN
Raaste mein ko_ii diivaar kharrii ho jaise

Manzilein duur bhi hein manzilein nazadeek bhi hein
Apane hii paao'n mein zanjeer parrii ho jaisay

Kitane naadaan hein tere bhulane vaale ke tujhe
Yaaaaaaaad karnay ke liyea umar parrii ho jaise

Aaj dil khol ke rooye hein to yuuN Khush hai 'Faraz'
Chund lamhon kiiii yeh raahat bhii barrii ho jaise

Ahmad Faraz

ENIA

Tuesday, November 10, 2009

Shumar....

Wo summar tha mere duaoon ka usay kiss ne apna bana liyaa..
Mere ankh kiss ne ujjar dii mera khwaab kiss ne chura liyaa..

Tujhe kiyaa batainn k dilnasheen tere ishq mai tere yaad mai...
Kabhi guftogu rahi phool say kabhi chand chat pe bula liyaa..

Mere jang ki wohi jeet thi mere fatah ka wohi jashan tha..
Mai gira to door k us ne mujhe bazuon mai utha liyaa..

Mere channd chonay ki hasratain mere khusboo hone ki khwahishen...
Tu milaa to aisa laga sanam mujhee jo talab thi wo pa liyaa..

ENIA

Monday, November 9, 2009

Use ....

Karo na yaad magar kis tarah bulaaon Usse
Ghazal bahana karoon aur gungunaon usse...

Woh Khar khar hai shakhe gulaab ki manind
Mein Zakhm Zakhm hoon phir bhi galay lagaaon usse...

Yeh log tazkirey karte hain apne yaaroon ke
Main kis se baat karoon aur kahan se laaon usse...

Jo hamsafar sar - e - manzil bichad raha hai Faraz
Ajab nahin hai agar yaad bhi na aaoon usse...

ENIA