Saturday, December 26, 2009

Guzar Gya So Guzar Gaya...

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gaya
use yaad ker ke na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya

Na gila kia, na khafa Howay, yoonhi raastay main juda huway
na tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gullon main aik gulaab tha
zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gaya so guzar gaya

Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas ker
tu khizan ka phool hai muskura, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chuka
use ab na de mere dil sada, jo guzar gaya so guzar gaya

Yeah safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil hai
kahan laut ker koi aye ga, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh Wafaien thien ke Jafaien thien, yeah na soch kis ki khatien thien
wo tera hai us ko galay laga, jo guzar gaya so guzar gaya

Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahi
na malal ker mere saath Aa, jo guzar gaya so guzar gaya.


ENIA

No comments: