Saturday, April 25, 2009

APRIL 25th....


I usually Dont have any thing for the day....

So Nthng on this day...No post...No Ghazls...No Shayri....No Nazm.....

ENIA .....

Wishing All The Happiness, Success and Love.

Wednesday, April 22, 2009

From Our Diary...15

Kuch door humare sath chalo
hum dil ki kahani keh denge,
Samjhe na jise tum aanhk se
Wo baat zubani keh denge,
Phoolon ki tarah fir honthon par
Ik shokh tabassum Mehka denge,
Dheere se Hum jab kaano mein .....
Ik baat purani keh denge...

ENIA

From Our Diary...14


Aaao tumhe bataye kya cheez mohabbat hoti hai,
Insaan k dil pe Insaan ki pakeeza Hukumat hoti hai..

Kuch husn mein shiddat hoti hai,
Kuch ishq mein chaht hoti hai,

Kuch aankh ishara karti hai..
Bas Yunhi Mohabbat Hoti hai...

ENIA

From Our Diary...13

Kyu chorrr Diya humara sath,
Kya humari galti thi,
Khuda bhi Maaf kar deta hai,
Gunah hone k baad.

Kyu aate ho hume yaad
kyu tadpate ho hume,
Aadmi khush hota nahi
Har ek khushi milne k baad.

Mohabbat k safar mein,
Jab kitne door chale gaye hai hum,
Kyu wapas pukarti ho,
Manzil kareeb aane k baad...

Aansu hai kamzor sahara mere jeewwan ka,
Kyu aatey ho poochne
Aankhen sookh jane k baad....

Na mana karo hume
Pyar karne se tujhko,
Kyu log bagawat kartey hai pyar karne k baad,

Karle deedar apne mehboob ka,
jee bhar k....
Koi aata nahi milne Qabar mein jane k baad....


ENIA

Saturday, April 18, 2009

From Our Diary ...12

Dil ki baat zuban tak lana kitna mushkil hai,
Haal-e-dil auron ko sunana kitna mushkil hai,

Ek humein hai teri chaht,Ek duniya ki majboori,
Beech samundar diya jalana kitna mushkil hai.

Tum duniya k shaidayi ho, Main sapno ka bashinda,
Sath humein yun tera nibhana kitna mUshkil hai.

Ek nayi duniya ki chahat le aayi hai kitni door,
Wapas laut k ghar ko jana kitna mushkil hai.

Apney Hothon k ana k tale hum se na khul payenge,
Door hote sathi ko bhulana kitna mushkil hai.

Ab to har ek hi hume gham ka mara dikhta hai,
Apney zakhm logon ko dikhana kitna mushkil hai.

Roz mujhse ek nayi tamanna karta hai ye mera dil,
Is nadaan ko samjhana kitna mushkil hai,

Hum aankhon se kehne wale tum hothon se sunne wale,
Apni chahat tumhe yu batana kitna mushkil hai.

ENIA

Thursday, April 16, 2009

From Our Diary...11

Musafir k rastey badaltey rahe,
Muqaddar mein chalna tha chaltey rahe,

Koi phool sa hath kandhe pe tha,
Mere paao sholon per chaltey rahey..

Vo kya tha humne jise thukra diya,
Magar umar bhar hath maltey rahe,

Mohabbat.adawat,wafa, berukhi...
Kiraye k ghar the badaltey rahe..

Suna hai unhe bhi hawa lag gayi,
Hawaon k rukh jo badaltey rahe,

Lipat k chiragon se wo so gaye,
Jo phoolon pe karwat badaltey rahe.

ENIA

From Our Diary...10


Pyas wo dil ki bujhane kabhi aaya bhi nahi,
kaisa badal hai jiska koi saya bhi nahi...

Berukhi isse badi kya hogi...
Ek muddat se usne mujhe sataya bhi nahi...

Roz aata hai dar e dil pe wo dastak dene...
Aaj tak humne jise paas kabhi bulaya bhi nahi...

Sun liya khuda jane zamane bhar ne kaise.
Vo fasana jise humne kabhi sunaya bhi nahi..

Tum to shayar ho or wo ek aam sa shaks,
Usne chaha bhi tujhe or jataya bhi nahi...

ENIA

From Our Diary...9



Musafir to bichartey hai Rafaqat kab badalti hai,
Mohabbat zinda rehti hai, Mohabbat kab badalti hai...

Usi ko chaha hai usi ko pooja hai,
Yahi barson se aadat hai or aadat kab badalti hai,

Tumhe jo yaad rakha hai yahi apni ibadat hai,
Jo pattar pe likhi jaye ebarat kab badalti hai...

Kali ka phool banna or bikhar jana muqaddar hai,
Yhai kanoon e Fitrat hai or Fitart kab badalti hai

Jo dil per naqash kar jaye or aankhon mein simat jaye,
Aalamat hai ye chahat k or chahat kab badalti hai.

ENIA

From Our Diary...8

Neeind nahi aati sari sari raat,
Koi tujhse kahe mere dil k jazbaat,

Ek tu jo nahi aaj mere sath,
Mujhe sooni sooni lage sari qaynaat

ENIA

From Our Diary...7


Tumhara naam likh likh kar mitana bhool jata hu,
Tumhe jab yaad karta hu to bhulana bhool jata hu...

Bohut si baatein aisi hai jo dil mein rehti hai,
Mager jab tumse milta hu to sunana bhool jata hu...

Tumhare baad ab har pal badi mushkil se katta hai,
Main aksar tumko khwaboon mein batana bhool jata hai...

Main ye har shaam kehta hu k bhool jaunga tumhe ...
Mgar jab sehar bedar hoti hai to bhulana bhool jata hu.

ENIA

From Our Diary...6

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi,
Tune mujhko kho diya maine tujhko khoya nahi,

Neeind ka halka gulabi sa khumaar aankhon mein tha,
Yu laga jaise vo shab ko der tak soya nahi,

Jurm adam ne kiya or Nasl-E-Adam ko saza,
Katta hu zindagi bhar Jo maine boya nahi....

Jaanta hu ek aise shaks ko main bhi,
Gham se patthar ho gaya lekin roya nahi...

ENIA

From Our Diary...5



Teri yaad ne mere dil ko saja rakha hai,
Tere pyar mein sab ko bhula rakha hai,

Kuch accha nahi lagta teri judayi k baad,
Ek teri yaad ko seene se laga rakha hai,

Tera milna to ab ek khwab hi lagta hai,
Na jane kyu ab dil ko bhula rakha hai,

Sab kuch luta gaya humara tere pyar mein,
Teri yaad ko palkon mein chupa rakha hai,

Muqaddar se miltey hai bichad k warna,
Aaj bhi tera naam dil mein saja rakha hai

ENIA

From Our Diary...4

Chahat k armaan bohut hai,
Lekin hum naaadan bohut hai,

Pyar bhi usse kartey hai,
Lekin wo anjaan bohut hai,

Wo hum ko mil jatey lekin,
Us Pe to Qurbaan bohut hai,

Kuch jo chahe mil jata hai,
Isi liye hairaan bohut hai,

Us k dar se uth k jana,
Rastey to veeran bohut hai,

US jaisa na hoga jag mein,
Tujhse to Kamraan bohut hai.

ENIA

From Our Diary...3


Dil pe lagey ghaav zara gehre hi hotey hai,
Meri takleef pe aansu na bahaye koi,

Ye duniya mere nazdeek maktal se nahi zyada,
Muje zindagi k kisse na sunaye koi,

Main jo bhi kehta hu faqat sach hi kehta hu,
Bure anjaam se mujhe na daraye koi....

Agar ha kahu to ha agar na kahu to na,
Har baat mein ek hi baat na dohraye koi....

Har hath mein mujhe lahu rang nazar aata hai,
mere liye apney hath na badhaye koi,

Mere shab o roz ki tafseel jin k paas hoti hai,
Use mere shehar ka aalam na sunaye koi.

ENIA

From Our Diary .....2



Hume ye Ranjishon k silsiley acche nahi lagte,
Kisi bhi haal mein shikwe gile acche nahi lagte,

Jafa kartey hai ilzaam de kar bewafi ka,
Rawaiye aise logon k acche nahi lagte,


Tumhe jo chooor kar nayi raho pe ja nikle,
Ye aansu aankh mein un k liye acchey nahi lagte...

Jo apni chahtein bhi le gaye akash apne sath,
Aap un k liye rote acche nahi lagtey.

From Our Diary....1


Sochta hoon k use neeind bhi aati Hogi,
Ya meri tarah wo bhi ashq bahati hogi,

Wo meri shakal mera naam bhulane wali,
Apni tasveer se kya aankh milati hogi,

Sham hote hiVo chikhat pe jala k shama,
Apni palkon pe kayi khwab sajati hogi,

Usne silwa bhi liye honge siyah rang Libaas,
Ab Moharram ki Trah Eid Manati Hogi....

Hoti hogi mere ehsaas ki talab mein pagal,
Jab bhi zulfon mein koi phool sajati hogi....

Mere Tassavur mein rehne wali,
Roshni tujhko meri yaad dilati Hogi,


Dil se nikalta hoga surkh dhuwaa,
Jab bhi tasveer ka kona vo jalati hogi....

ENIA

Friday, April 10, 2009

Apna Ho jaye

Wo jo bare sukh main hay
Usse kehna
K raat ka pichhla peher hay
Aur hum jagte hain
Hamari aankhon se neend koson dur hay
Hamare lab abhi tak Us k naghme gungunate hain
Hamara zehen ab bhi Uski baaten sochta hay to
Kabhi hum hans detay hain
Kabhi g bhar k rotay hain
Shab-e-tanhayi ki yakh basta hawao
Usse kehna
Hum ab bhi ba wuzu ho ker Tumhara naam latay hain
Usse kehna ya apna naqsh dho jaye
Ya phir se apna ho jaye...

Enia

Saturday, April 4, 2009

Sawal Ajeeb sa


Nazar me ZuLmat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nikla to
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na maine usey khatoot likhe
na us ne meri panah chahi,
dono ko apni bekhudi pe
malal kitna ajeeb sa tha,
wo apni raton me chand dekhe
main apni raton main us ko souchon,
badalte lamhon mein soch ka ye
visaal kitna ajeeb sa tha,
safar akelay he kaat lo gey
main ne poocha to ro diya wo,
jawab kitna ajeeb sa tha
sawal kitna ajeeb sa tha......
ENIA