Thursday, August 27, 2009

Us ka...

Karoon to kis liye aakhir malal us ka,
usey nahin to mujhey bhi nahin khayal us ka,
Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko,
Kisi ada par nahin hai kamal us ka,
Mere naseeb ki yeh bhi to khush naseebi hai,
Ke mujh ko dekh ke sab pochte hain hal us ka,
Yehi doa main karon har baras ke pehley din,
Mere bagher na guzre koi bhi saal us ka,
Mere urooj ko us ke naseeb main likh dey,
KHUDA-E-PAK mujhey soonp de zawaal us ka.

Enia

Hmmm

Kafi Arsa Beet Gyaa Janay Ab Woh Kaisa Hoga

Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga

Ab Bhi Bhegge Brish Mein Woh Bn Kay Chatri Chalta Hoga

Mujhsay Bichray Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga

Acha Tha Jo Sath Hi Rhety Baad Mein Os Nay Soccha Hoga

Apnay Dil Ki Sari Baatain Khud Say Khud Hi Karta Hogaa …

Enia

Khaamoshi

Terey sheher k log jantey hain
mujhe darbadar karne ki rasm main
tamashaiyoo.n main ik tu bhi thi
aankhoo.n sey rawaa.n jis k anso they
baal bhi bikhrey they merey baloo.n ki tarha
zakhmoo sey choor tera badan bhi tha
surkh dorey they aankhoo.n main kuch is tarha
k janey kab sey roti rahi ho tum
kisi ki yaad main, kisi k intazaar main
chand chehra bhi tera murjhaya sa tha
tooti choriyoo.n k zakhm bhi they
gori kalaiyoo.n per teri kuch gehrey sey
terey sheher k log jantey hain
mujhe dar badar karne ki rasm main
tamashaiyoo.n main ik tu bhi thi
Suno Janaa.n!
main terey leye tu khud ko ganwa sakta hoon
main teri wafa per shaaki nahi hoon
magar ik cheez jo mujhe jeeney nahi deti
jis k jawab ka main
aj bhi muntazir hoon
mujhe dar badar karne ki rasm main
terey hontoo.n per pheeli khamoshi hai

Enia

ALFAZ MARTY HAIN

Suna hoga
Bohat tum ne,

Kahin ankhon
Ki rim jhim ka,

Kahin palkon ki
Shabnam ka,

Parha ho ga
Bohat tum ne

Kahin lehjey ki
Barish ka,

Kahin sagar k
Ansoo ka.

Mgar tum ne
Kabhi Humdum.

Kahin dekhey?
Kahin parhey?

KISI TEHRER K AANSO ?

Mujhey teri judai ne.

Yahi meraj
Bakhshi hai.

K main jo
Lafz likhta hon.

Woh sarey
LAFZ ROTEY HAIN.

K main jo
Harf bunta hon,

Woh sarey
BATAIN KARTE HAIN.

Mere sang
Is judai mein,

MERE
ALFAZ MARTY HAIN


Enia

Ganwa dena ..

Dia Khud Se Bujhha Dena,
Hawa Ko Aur Kia Dena ?
Sitary Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena
Kabhi Is Tor se Hansna..
Keh Dunia Ko Rula Dena
kabhi Is Rung Say Rona
Keh khud Par Muskura Dena
Main Teri Dastaras Chahoon '
Mujhe Aisi Dua Dena'
Main Tera Barmala Mujrim
Mujhy Khul Kar Saza Dena'
Main Tera 'Munfarid Saathi '
Mujhe Hat Kar jaza Dena"
Mera Ser Sab Se Ouncha Hai
MuJhay' Maqtal Niya Dena'
MuJhay Accha Lagay Mohsin . . .
Usay Paa Ker Ganwa Dena

Enia

Mohabbat Pukarti Hai...

Kabhi jo fursat mile to wapis palat k dakho.. .
tumhare jane k baad mosam badal gaye hain . .
hamari aankhoon k khaab ashkoon main dhal gaye hain . .
kisi tamana k phool hasrat main jal gaye hain..
kbhi jo fursat mile to wapas palat k dakho......
tumhari khushbu masaam e jaan main mahak rahi hay . .
dyaare dil main wasaal lamhoon ki sabz koyal chahak rahi hay . .
tumhari yadoon ka neel aankhoon se bah raha hay
tumhari batoon ka lams kanoon main ghul raha hay ..
kbhi jo fursat mile to wapas palat k dakho ..
tumhain muhabat pukaarti hay

Enia

Main Kya Karti ?

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karti?
Taweel hota gaya faasla main kya karti?

Har aik shakhs ko tha zaum-e-rahbari kitna
Bhatak raha tha mera qaafla main kya karti?

Gham-e-hayat, gham-e-ishq aur gham-e-janaan
Ulajh gaya tha har ik silsala main kya karti?

Tumharey sath kisey faisley ki fursat thi
Tumharey baad bhala faisla main kya karti?

Buhat sambhaal k rakha tha dil mein raaz tera
Woh ban k ashk jo girnay laga main kya karti?

Mujhi se mangney aaya woh le ke majhburi
Ab uss se us ki jafaa ka gilaa main kya karti?

Woh aansoon ki zubaan janta na tha meri...
Mujhe bayaan ka na tha hosla main kya karti?

Enia

Usey Bhool Ja

Kahan aa kay ruknay thay rastay, kahan mor tha usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahin mila usay bhool ja

wo tere naseeb ki barshain kisi aur chat pe baras gayain
dil-e be khaber mari baat sun usay bhol ja, usay bhul ja

main to gum tha tere dhyan main teri aas tere guman main
saba keh gai mere kaan main, mere saath aa usay bhol ja

tujhay chand ban kay mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
wo tha aik darya visal ka, so utar gaya usay bhol ja

Kaheen Chak-e-Jaan Ka rafoo Nahee, Kisse Asteen Pay Lahoo Nahee
Keh Shaheed-e-Rah-e-Millal Ka Nahee Khun Baha, Ussay Bhool Ja

Kyun Atta Howa Hai Ghubar Main, Gham-e-Zindagee Kay Fishaar Main
Woh Joo Darj Tha Tairay Bakhat Main Soo woh Hoo Giya, Ussay Bhool Ja

Na Woh Ankh Tairee Ankh Thee, Na Woh Khawab Hee Taira Khawab Tha
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liay Taira Jagna, Ussay Bhool Ja

Yeh Joo Raat Din Hai Khel Sa, Issay Dekh, Iss Par Yaqeen Na Kar
Nahee Aks Koi Bhee Mustaqil Sar-e-Aieena, Ussay Bhool Ja

Joo Bisat-e-Jaan Hee Ulat Giya, Woh Joo Rastay Say Palat Giya
Ussay Rooknay Say Hasool Kiya, Ussay Mut Bulla, Ussay Bhool Ja

ENIA

Friday, August 14, 2009

E-Khuda

Teri baargah mein Aye Khuda

Yun hi sar ko main nay jhuka diaa

Us waqt teri Khudai nay

Mujhey pastiyoon say utha diaa

Main zaleel tha ...main haqeeer tha

Teray dar ka aik faqeer tha

Tune aik hi sadje kay badle mein

Mujhey kiya say kiya hai bana dia

rag-e-jaan say bhi To qareeb hai

Tu hi likhta sab kay naseeb hai

Jisse chaha pal mein utha diaa

Jisse chaha pal mein giraa diyaa ..

Rafta Rafta

Bade mukhtasir say huroof mein ..mujhey gheri baat bata gaya ...

Kay woh khawaab sa koi shaksh tha ..jo sehar say phelay jaga gaya ..

Kisse meharbaan ki duaoon say ..ye safer tamaam hua mera ..

Jinhe rehbari ka guroor tha ..unhe raastoon nay thaka diya ..

Humain aasman say gila nahin ..teri rehmatoon pay yaqeen hai ...

Jahan zinadgi nay shikast dee ..kisse maujze nay bacha liya ..

Humain zinda rhene ka hausla ...teri aarzu nay ata kiya ..

Hare ghere zakhm mile humain ...jinhe rafta rafta mita diyaa ..

ENIA

Friday, August 7, 2009

Zindagi K Kissey

Main dardon se likhti hun zindagi ke kisse,
tum sab dard un main se chura loge na...???

Hawaao ke tevar se bahut mayoos hun main,
yeh jalte diye aandhiyon se bacha loge naa..??

Bekhabar hai chand sudh leta nahi humaari,
Tum b sitaaron se dil apna behla loge naa..??

Saja dein apni shyari agar kadmo pe tumhare,
Apni palkon par tum isko utha loge naa..??

yakeen hai mujko naa bhula paaoge tum bhi,
Faasle jo darmiya hai wo mita doge naa..??

Chalti hoon safar ke akhri padaav ke paar,
tanhai mein mujhko phir sada toh doge na,,,,??

ENIA