Thursday, December 31, 2009

Zindagi...

Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do ,
Meri Zindagi Se bani,

Koi Zindagi Pe Kare Yaqeen,
Mera Zindagi Pe Aetabar Nahi,

Ye Safar Bhi Kesa Safar hai K,
Mein Kabhi Kahin Tu Kabhi Kahin,

Mujhe Jis Sanam Ki Talash Thi ,
Wo Mila,Magar Mila Nahi,

Mein Wo Bat Hun Jo Bani Nahi,
Mein Wo Raat Hun Jo Kati Nahi,

Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do ,
Meri Zindagi Se Bani Nahi

ENIA

Yun Mohabbat Mein...

Sabhi jazbat,khyalat badal jate hain
Yun muhabbat mai ye din raat badal jate hain

Pyaar unko bhi hain humse par jane kyu
Hum baat karen tu wo baat badal jate hain

Arzoo tu hain k izhaar-e-muhabbat kar doon
Lafz chuntey hain tu lamhat badal jate hain

Kitne nafrat thi khabhi ahl-e-muhabbat se humain
Ho muhabbat tu khayal badal jate hain

Aik sa waqt muhabbat mai kahan rehta hai
Gardish-e-waqt se haalat badal jate hain...

ENIA..

ZARA UDAAS....

Zara udas bhi hoOn lekin Masroor bhi hoOn,
Us kay pass hoon shayad door bhi hoOn..

Youn pathrilay rastay pay chalna shoq nahi mera,
Kuch mamla chahat ka hai kuch majboOr bhi hooN..

Mohabbat ho gaye us say bus yahi khata rahi meri,
mana kay mujrim hoOn magar beqasoOr bhi hoOn..

ENIA

Uss ne mujhse kaha

Uss ne mujhse kaha Mere Sathi !

Tumko mujhse jo hai gila to kia hai ?
kabhi fursat mile to ye socho
Manzilien kia hai fasla kia hai ?

Apne apne safar pe nikle loag
Mushtariq raston pe chalte hain
hamari ke hisaar mei jitne
Din niklate chiraag jalte hain

Apni apni umeed ke dar-o-baam
Zindagi ke safar mei milte hain
mustaqil dard ,arzi aram
Tum mere humsafer to ho lekin......

Hum kahin se bichar bhi sakte hain
Dair tak ik taweel raste par
Sath to ajnabi bhi chalte hain..................!!!!!!

ENIA

Mein royai tu nahi Hoon

Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Akser Phail Jata Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahin Hoon......
Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahin Hoon......
Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahin Hoon......
Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Main Dekho
Main Roi To Nahin Hoon.....
Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahin Hoon....

ENIA

Kabhi Miley

Kahin wo miley tou usy kehna k loat ao

kisi ki batain,

Kisi ki yaadain,

kisi ki raatain

tum bin bohat adhuri hain,


Lot aao k koi tum bin pal pal,

har pal, har aaj or har kal tanha hai,


Loat aao k tumhare na hone se

kisi ki aankhon mei nami or zindagi mei kami bohat zyada hai,


Kahin mile to usay kehna k Lot aao,

Bus Ab Lot Aao

ENIA

Hasata Tha Mujhey..

Hansata tha mujh ko to phir rula bhi deta tha
kar ke wo mujh se aksar wada bhula bhi deta tha


bewafa tha magar acha lagta tha dil ko
kabhi kabhi batain mohabbat ki suna bhi deta tha


thaam leta tha hath mera kabhi yunhi
kabhi hath apna mere hath se chura be leta tha


koshishay karta tha kabhi milne ko
kabhi qeemthi lamhay mohabbat ke gawa bhi deta tha


ajeeb dhoop chaw si tabiyat thi uski
moataber be karta tha or kabhi nazro se gira bhi deta tha

ENIA

Zindagi...

zindagii tujh ko manaane nikale
ham bhii kis darjaa diivaane nikale

kuchh to dushman the muKhaalif-saf mein
kuchh mere dost puraane nikale

nazar_andaaz kiyaa hai us ne
Khud se milne ke bahaane nikale

be-basaarat hai ye bastii yaaro
aa_iinaa kis ko dikhaane nikale

in andheron mein jiyoge kab tak
koii to shamaa jalaane nikale


ENIA

Sunday, December 27, 2009

Nazar To Aya Hai.....

Yahi bahut hai ke dil us ko Dhoondh laayaa hai
kisii ke saath sahii vo nazar to aayaa hai

karu shikaayatey.. takataa rahu.. ke pyaar karu
gaye bahaar kii suurat vo lauT aayaa hai

Vo saamane thaa magar ye yaqii.n na aataa thaa
Vo aap hai ke merii Khvaahisho.n kaa saayaa hai

Azaab huup ke kaise hai.n baarishey kyaa hai
Fasiil-e-jism girii jab to hosh aayaa hai

Main kyaa karuga agar vo na mil sakaa 'Amjad'
abhii abhii mere dil me.n Khayaal aayaa hai


ENIA

Mujhey Ab Darr Nahi Lagta

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi K Do0r Jane Se
Ta'luq Tot Jane Se
Kisi K Maan Jane Se
Kisi K Roth Jane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ko Azmane Se
Kisi K Azmane Se
Kisi Ko Yad Rakhne Se
Kisi Ko Bhol Jane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ko Chor Dene Se
Kisi K Chor Jane Se
Na Shama Ko Jalane Se
Na Shama Ko Bujhane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Akele Muskrane Se
Kabhi Ansoo Bhane Se
Na Is Sare Zmane Se
Haqeeqat Se Fasane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ki Na'rasai Se
Kisi Ki Parsai Se
Kisi Ki Bewafai Se
Kisi Dukh Intehai Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Na To Is Paar Rehne Se
Na To Us Paar Rehne Se
Na Apni Zindgani Se
Na Ik Din Mout Aane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta............!

ENIA

Gham E Zindagi

Gham-e-zindagi tera shukriya – teray faiz he sey ye haal hai
Wahi subh o shaam ki uljhanein wahi raat din ka wabal hai

Na chaman mein boo-e-saman rahi naa he rung lala o gul raha
Tu kafa kafa sa hai waqayee ke ye sirf mera khayal hai

Esay kaisey ziist kahey koi ghahey aah-dil ghahey chashm-e-num
Wahi raat din ki museebatein wahi mah hai wahi saal hai

Mein ghumon sey houn jo yun mutmaeen tu bura na maniye tu mein kahon
Teray husn ka nahi faiz kuch meri aashqee ka kamal hai

Hai ye aagh kaisee laghee hovi meray dil ko aaj hova hai kiya
Jo hai ghum tu hai ghum-e-aarzo aghar hai tu fikr-e visaal hai

Koi kaash mujh ko bata sakey reh o rasm ishq ki uljhanein
Wo kahey tu baat patay ki hai mein kahon tu khaam khayal hai

Ye bata ke kiya hai tujhay hova paye ishq sarwar ghumzdaa
Na wo mastiyan na wo shokhiyan na wo haal hai na wo qaal hai


ENIA

Saturday, December 26, 2009

MERI BEBASI BHI AJEEB HAI

meri mout hai meri humsafer meri zindagi bhi ajeeb hai
mere chaaron taraf hai jalwager,teri berukhi bhi ajeeb hai

mera dard hai lab e aashna,teri ranjishon k azaab se
mere shair hain mere charager meri dil lagi bhi ajeeb hai

ju hain tana zann meri zaat per,mujhe un se koi gila nahin
mujhe jaan se woh azeez ter meri bandagi bhi ajeeb hai

main lahoo jiger se gudaaz ker,tujhe naqsh kerta hon werq werq
hai qalam ki nook se mukhtasir,teri aag'hi bhi ajeeb hai

MAIN PAHER KI TAPTI HAWAON SE,KARI DHOOP MEIN KHARA BEKHABER
SAR E RAAH TERA MUNTAZIR "MERI BEBASI BHI AJEEB HAI"


ENIA

Waqt Nahi

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi


ENIA

Guzar Gya So Guzar Gaya...

Hama-waqt ranj-o malal kia jo guzar gaya so guzar gaya
use yaad ker ke na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya

Na gila kia, na khafa Howay, yoonhi raastay main juda huway
na tu be-wafa, na main be-wafa, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh ghazal ki aik kitaab tha, woh gullon main aik gulaab tha
zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gaya so guzar gaya

Mujhe pat-jharon ki kahaniyan , na suna suna ke udaas ker
tu khizan ka phool hai muskura, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh udas dhoop samait ker, kahin wadion main uter chuka
use ab na de mere dil sada, jo guzar gaya so guzar gaya

Yeah safar bhi kitna taweel hai, yahan waqt bhi kitna qalil hai
kahan laut ker koi aye ga, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh Wafaien thien ke Jafaien thien, yeah na soch kis ki khatien thien
wo tera hai us ko galay laga, jo guzar gaya so guzar gaya

Tujhe aitbaar-o yaqeen nahi, nahi dunya itni buri nahi
na malal ker mere saath Aa, jo guzar gaya so guzar gaya.


ENIA

Aakhirat...

Akhirat kou bhool betha fiker-e-duniya k evaz,


Mout ka hamla achanak beykhabar kaisa laga?


Hanstey hanstey tou nai duniya mai guzari zindagi


Aab naya zair-e-zameen yeh tang ghar kaisa laga?


Dafan kar k qabr main sab bey khabar sey chal diye


Jis sey tou manoos tha ab woh beshar kaisa laga?


Tou hansa karta tha auron kou pareshan daikh kar


Chal diya apno kou rota chor kar kaisa laga?


Aab na woh takiya mulaim aur na woh bistar naram


Jism par do gaz kafan mitti par sar kaisa laga?


ENIA

Tere Naam Kar Doo...

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon
Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon

Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai
Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon

Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhar doon
Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardon

Tuu Mujhey Muhabbat ka Agaaz de Sanam
Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon

Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai
Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon

Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai
Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon


ENIA

Friday, December 25, 2009

Hmmmmm

Kabhie subha se kabhie sehar se larra karti thee
Mudatein howe aik shama yaha jala karti thee

Kya baat hui kay aaj sar-e-sham band ho gayee
Aik khirrkee jo kabhi autak-e-sehar khula karti thee

Simhata hai dil kiyoun ab ki barr iss toofan main
Garajtay thay badal, bijli pehlay bhi girra karti thee

Kuch kasoor-e-kismat-e-amaan ka hai warna
Naumeedi iss dil se dur hie raha karti thee

Khata meri hi thi jo duniya say dil laga baithi
Yeh kambakht zindagi pehlay kab kisi se wafa karti thee

Main kaash yeh keh saktee,"Mujhe Yaad Kijiye"
Kabhi meri yaad jinn ki dharkan howa karti thee

Dekho aaj hum unn ki duniya mai shamil hie nahin
Jinn ki duniya kabhi basa hum se howa karti thee

ENIA

Ranj Hua....

Ghar me sooraj k utarnay ka bohut ranj hua
kal mujhe raat guzarnay ka bohut ranj hua
jisne kr diya meri zaat ko REZA REZA
mujhko us k bikhharnay ka bohut ranj hua
yoon to es sheher men ab jhoot koi aib nahi
janay kiu tere mukarnay ka bohut ranj hua
ab tujhe dekhnay milnay ki tamanna hi nahi
niyyat-e-shoq k bhar janay ka bohut ranj hua
kooch kar jayengay QAIS to kehai gi dunya
hum ko ek shaks k janay ka bohut ranj hua


ENIA

Thursday, December 24, 2009

Yaad Aatey Ho...

kabhi bejaan lamhon pr
tumhari yaad chupke se,

Koi sargosho karti hai,
yeh palkein bheeg jati hein,

to aansu toot girtay hein,
hum palkon ko jhukatay hein,

bazahir muskraatay hein,
faqat itna hi kehtay hein,

humein kitna statay ho?
Mujhe tum yaad aatay ho

MUJHE TUM YAAD AATAY HO

Tuesday, December 15, 2009

Ajnabi Raastey...

Ajnabi sheher k ajnabi rastay
Meri tanhayi per muskuratay rahay,

Main bohat der tak yunhi chalta raha,
Tum bohat der tak yad aatey rahey

Zeher milta raha, zeher peetay rahay
Roz mertay rahay, roz jeetay rahay

Zindagi bhi hamain azmati rahi
Or hum bhi usay azmatay rahay

Ajnabi sheher k....

Kal kuch aisa hua, main bohat thak gaya,
Is liyay sun k bhi unsuni ker gaya

Kitni yadon k bhatkay huey karwaan
Dill k zakhmon k darr khatkhatatay rahay



Ajnabi sheher k....

Zakhm jab bhi koii zehan o dill per laga,
Zindagi ki taraf ik dareecha khula

Hum bhi goyaa kisi saaz k taar hain,
Chott khatay rahay, gungunatay rahay

Ajnabi sheher k ajnabi rastay
Meri tanhaii per muskuratay rahay

Main bohat der tak yunhi chalta raha
Tum bohat der tak yaad atay rahay!!!!!!!


ENIA

Sunday, December 13, 2009

Zindagi

Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Main ne poocha zindagi se ishq ka anjaam to
keh gai hai kaam main ruswai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi

ENIA

Zakhm Puraney

mujhase milane ke vo karataa thaa bahaane kitane
ab guzaaregaa mere saath zamaane kitane

main giraa thaa to bahut log ruke the lekin
sochataa hoon mujhe aaye the uThaane kitane

jis tarah main ne tujhe apanaa banaa rakkhaa hai
sochate honge yahii baat na jaane kitane

tum nayaa zaKhm lagaao tumhain is se kyaa hai
bharane vaale hain abhii zaKhm puraane kitane

ENIA

Mohabbat Haar Jati Hai...

Zamney sey suna tha k muhabbat har jati hai,
Jo chahat ek taraf ho wo chahat har jati hai

Kahi par duwa ka ek lafz asar kar jata hai
Kahi par barso ki Ibadat har jati hai

MUHABBAT kab kissi ko dushmani ka dars deti hai
Mohabbat ki bazi main edawat har jati hai

Humain kitney shikwaye ho us ki jafaoo sey
Par us k samney aatey hi har shikayat har jati hai

Ek arzoo si hai k us ko bhool jain hum
Par us ki yaad aatey hi har hasrat haar jati hai.....

ENIA

GARD...

Main tumharay aks ki aarzoo mei bass aayina hi bani rahi
Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi


ENIA

Saturday, December 12, 2009

Meri Bebasi....

Meri mout hai meri humsafer meri zindagi bhi ajeeb hai
mere chaaron taraf hai jalwager,teri berukhi bhi ajeeb hai

mera dard hai lab e aashna,teri ranjishon k azaab se
mere shair hain mere charager meri dil lagi bhi ajeeb hai

ju hain tana zann meri zaat per,mujhe un se koi gila nahin
mujhe jaan se woh azeez ter meri bandagi bhi ajeeb hai

main lahoo jiger se gudaaz ker,tujhe naqsh kerta hon werq werq
hai qalam ki nook se mukhtasir,teri aag'hi bhi ajeeb hai

MAIN PAHER KI TAPTI HAWAON SE,KARI DHOOP MEIN KHARA BEKHABER
SAR E RAAH TERA MUNTAZIR "MERI BEBASI BHI AJEEB HAI"


ENIA

Saturday, December 5, 2009

Ghazal Nayi Hai

Ae shaam mujhe tum kuch na kaho is baar mera dil toota hai
Ya jee na sakon wo baat kaho,is baar mera dil toota hai

Main bhool na jaaon sawan ko aansu'un ki tamana kerte
Ik baar hi aankhon main utro,is baar mera dil toota hai

Maloom na tha k raste main tum bhi na raho ge saath mere
Kab main ne kaha tha saath chalo,is baar mera dil toota hai

Shayed wo taranum pehle se mojood na ho ga,tum meri
Na ghazal suno,na geet parho,is baar mera dil toota hai

Ae ahd-e-murawat k saathi taskeen meri bas is main hai
Tum jab ye suno to aah bharo,is baar mera dil toota hai

Is jheel main ab bhi aks tera thehra hai choot k lehje main
Taaron se meri taqdeer buno,is baar mera dil toota hai

Tooti nahi ho gi shayed koi is saal khizan main daal koi
Ye zulm nahi hai kam logo,is baar mera dil toota hai

Majboor hain youn to sadi'oun se dukh dard main shairon ko likhte
Ye ghazal nayi lekin na parho,is baar mera dil toota hai


ENIA

Friday, December 4, 2009

Us Ney...

Jab Kabhi Chahey Andhero Main Ujale Us Ne
Kar Diya Ghar Mera Sholo K Hawale Us Ne

Us Pe Khul Jati Meray Shoq Ki Shiddat Sari
Dekhe Hote Jo Mere Paon K Chaley Usney

Jis Ka Har Aib Zamane Se Chupaya Main Ne
Mere Qisse Sare Bazar Uchale Us Ne

Jab Usey Meri Mohabat Pay Bharosa Hi Na Tha
Kyun Diye Meri Wafaon K Hawale Us Ne

Aik Mera Hath Hi Na Thama Us Ne Warna
Girtey Huey Kitne Hi Log Samnbhaley Us Ne

ENIA

Teri Aankhein...

Zara tham tham k barsa kar

abhi itna na rotha kar

Abhi to dur hai manzil

Abhi khud ko na tanha kar

Teri ankhen samandar hain

Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai

Mujhe aise na dekha kar

Hawa mujhse kahe pagal

Na yun raston me betha kar

Wo 1 din chor jaye gi

Usey itna na chaha kar

ENIA

Sathi Ho....

Dayaar-e-nuur Main Teraa Shaboon Ka Sathii Ho
Koi To Ho Jo Meri Vehshatoon Ka Sathii Ho,
Main Us Se Jhooth Bhi Boloon To Mujh Se Sach Bolay
Mere Mizaaj Ke Sab Mausamoon Kaa Sathii Ho ,
Vo Mere Naam Kii Nisbat Se Moo-tabar Thaharay
Galii Galii Merii Rusvaeeyoon Kaa Sathii Ho ,
Main Us Kay Haath Na Aaon Vo Meraa Ho Kay Rahay
Main Gir Paroon To Meri Pastiyoon Kaa Sathii Ho ,
Vo Khawab Dekhay To Dekhay Mere Havaalay Say
Mere Khayaaloon Kay Sab Manzaroon Kaa Sathii Ho....

ENIA

Thursday, December 3, 2009

Khush Hoon

Haqiqat Hai Yaqeen karlo,
Main usko BhoOl Ker Khush HOon ...

Muhabbat mar Chuki Abb To,
Main usko Bhool ker Khush hOon ...

Badalti raat Ki Wajha Se,
Tabiyat kuch Bojhal Si hai..
YuN mera haal Mat poocho
Main usKo BhOol ker KHush Hoon...

Meray lehejay pe mat Chonkoo,
Meri Ankhon Main mat JhanKOo...
Yun herat se Na DekHOo tum,
Main UsKo Bhool ker Khsuh hOon ...

Tumhain kya Wehem hai,
Kiun raat Bhar Milnay nahiN AtIn...
Aye meri neend Ki pariyOn,
Main usko Bhool ker KHush hOOn ....

Bhala kIUn ROOz Baa'nhain Wa Kiye MujH se milnay ati hai ...
Tum us Ki yaad Se Keh-DoO ,
Main usko Bhool ker kHush hOon ....

Udasi Saray Ghar main Phelti jati hai ghum ban ker ...
Dar-O-Dewar Per LIkhDoO,
Main usko bhool ker khush hoOn ...

ENIA

Bey Jaan

Rukhsat huwa to bat meri man kar gaya
Jo pass usky tha wo muje Dhan kar gaya

Bichera kuch is ada se k Rut he badal gai
Ik Shakhas sary sheher ko Weran kar gaya

Kitni suder gai ha judai me ab zindgi....
Haan wo jafa me muj per Ehsan ker gaya

Main baat baat per kehta tha jis ko jaan
Wo Shakhs jaaty jaaty bejan kar gaya...

ENIA