Wafa main ab ye hunar ikhtiyar karna hai
Wo sach kahe na kahe aitabar karna hai
Ye tujh ko jagte rahne ka shouq kab se huwa ?
Mujeh to khair tera intizar karna hai
Hawa ki zad main jalaey hain aansoowon k chiragh
Kabhi ye jashn sar e rahguzar karna hai
Wo muskura k naye waswason main daal gaya
Khayal tha k use sharmsar karna hai
Chalo ye ashk hi moti samjh k bech aaein
Kisi tarah to hamein rozgar karna hai
Khuda khabar ye koi zid k shouq hai mohsin
Khud apni jaan k dushman se pyaar karna hai
__________________
ENIA
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment