Saturday, May 22, 2010

Usi Ka Raha...

Main bhi kiya hoon'usy bhool kr usi ka raha
ky jis k sath na tha'humsafar usi ka raha

doost k dushman e deen tha ba'qol nasseh
sawal e sajda jab aaya toh dar usi ka raha

bohat si khuwaish'soo barishon mein bheegi hain
main ksi tarha se kahoon'k umer bhar usi ka raha

main apny hurf ki tauqeer janta tha Faraz
isi liye kaf e qatil py sar usi ka raha...

By Ahmad Faraz..

Neeind Bhala Kab Aati Hai...

Jab neend say aankhein bojhal hon
Aur apnay aankh say ojhal hon
Phir neend bhala kab aati hai
Jab dil mein basnay walay bhi
Aur sath mein hasnay walay bhi
Door kahin wo bastay hon
Kisi aur k sath wo hanstay hon
Phir neend bhala kab aati hai
Jab gham ki raat anheri ho
Aur us mein yaad bhi teri ho
Na dil mei koi ujaala ho
Phir neend bhala kab aati hai


ENIA

Likh Do...

Dil udas hai bohat koi pegham hee likh do
Tum apna naam na likho gumnaam hee likh do..

Meri qismat mein gham-e-tanhai hai laikin
Tamam umar na likho magar ik shaam hee likh do...

Zaroori nahi k mil jaye sakon har kisi ko
Sar-e-bazam na aao magar benaam hee likh do....

Yeh jaanta hoon k umar bhar tanha mujh ko rehna hai
Magar pal do pal ghari do ghari meray naam hee likh do...

Chalo hum maan letay hain k saza k mustahiq thehray hum
Koi inaam na likho koi ilzaam hee likh do....


ENIA

Tumharey Liye.....

Jab tumharay shehar mein hum raha kartay thay...
Hum bhi chup chap jiya kartay thay,

Aankhon mein piyaas huwa karti thi....
Dil mein toofan utha kartay thay,

Log aatay thay ghazal sunanay...
Hum tumhari baat kiya kartay thay,

Ghar ki deewar sajanay ki khatir...
Tumhara naam likha kartay thay,

Tumharay liye jiya kartay thay..
Tumharay liye hee mara kartay thay,

Aaj tumhari tasveer dekhi toh yaad aya...
Kabhi hum bhi tumsay muhabbat kiya kartay thay....


ENIA

Friday, May 21, 2010

Tumhey Jo Besabab....

Tumhey jo besabab mujh se khafa honey ki aadat hai
Ye aaghaz e judai hai k andaz e muhabbat hai,

Wafa k rang mein dekho jafa achi nahi hoti
kisi se pyar mein itni ana achi nahi hoti,

Faqat kehny ki baatein hain nibhata kaun hai kis ko
chalo ab dekh lety hain manata kaun hai kis ko...

ENIA

Aankhon Mein...

Na janay dhoondtay ho kya meri veeran aankhon mein
Chupa rakhay hum nay toh kayi toofan aankhon mein,

Kahan wo sokhiyan pehlay si ab kuch bhi nahi baqi
Chalay aaye ho tum kya khojnay in bay-jaan aankhon mein,

Kis ka hath lekar hath mein jab tum milay hum say
Toh kaisay toot kay bikhra tha mera maan aankhon mein,

Na samjho chup hain tu tum say koi shikwa nahi baqi
Hum apnay dard ki nahi rakhtay koi pehchaan aankhon mein,

Milay thay baad muddat k humein tum ajnabhi ban kar
Toh kaisay dard na utra meri hairaan aankhon mein,

Nahi ab phir say koi rabta rakhnay say kuch hasil
K ab dafna diye hum nay sabhi armaan ankhon mein....

ENIA

Saturday, May 15, 2010

Akelepan Ki Udasiyan...

Yeh akelay pan ki udasiyan yeh firaq lamhay azab say
Kabhi dasht-e-dil pay bhi aa rukein teri chahton k qaflay
Mein hoon tujh ko azeez tar yeh kaisay maan loon humsafar
Teri baat lagti hai weham si teray lafz lagtay hain khuwab say
Yeh jo mera rang hai roop hai youn hee besabab nahi dosto
Meray khushboun say hain silsilay meri nisbatein hain gulab say
Wohi moatabar hai meray liye wohi hasil-e-dil-o-jaan hai
Wo jo baab tum nay chura liya meri zindagi ki kitaab say

ENIA

Mausam....

Tum ko yaad hai janaan
Guzishta saal May mein
Issi tarha ka mausam tha
Jab tum nay kaha tha mujh say
Chalo hum naam badaltay hain
Koi achay say farzi naam
Rakho tum apnay aur meray
Haan us waqt tumhari baat
Meinay un suni kar di
Magar jab say lagi thokar
Tu ab kuch naam zehan mein aye
Aaj issi May mein
Wo farzi naam rakhay hain
Mera naam aaj say tanha
Aur
Tumhara naam mausam hai
K tanha ana parast thehra
Aur mausam bewafa janaa


ENIA

Monday, May 10, 2010

Bhula Dey Mujhko...

Gungunatay huway aanchal ki hawa day mujh ko
Ungliyan balon mein pher k sola day mujh ko
Jis tarhan faltoo guldan lagay rehtay hain
Apnay ghar k kisi konay say laga day mujh ko
Yaad kar k mujhay tujh ko takleef hee hoti hogi
Ek qisa hoon purana sa bhula day mujh ko
Dobtay dobtay awaz teri sun jaon
Akhiri bar tu sahil say sada day mujh ko
Mein teray hijr mein chup chap na mar jaon kahin
Mein hoon saktay mein kabhi aa k rula day mujh ko
Daikh mein ho gaya badnam kitabon ki tarhan
Meri tash heer na kar ab jala day mujh ko
Roothna tera meri jaan liye jata hai
Aisay naraz na ho hans k dikha day mujh ko
Aur kuch bhi nai manga meray maalik tujh say
Us ki galion mein pari khad bana day mujh ko
Log kehtay hain ishq nigal jata hai
Mein bhi is ishq mein aya hoon dua day mujh ko
Yehi auqat hai meri teray jivan mein k mein
Koi kamzor sa lamha hoon bhula day mujh ko


ENIA

Sunday, May 9, 2010

Ek Din

Ek din mila wo mujh say
Bhuja bhuja sa
Jhuka jhuka sa
Udasiyou mein racha racha sa
Jo mein nay poocha udas kyou ho
Jhuka k palkein chupa k chehra
Laga wo kenay
Udasiyoun ka sabbab tumhi ho
Meray naseebon mein tum nahi ho


ENIA

Dhanak...

Teri sanson mein gulabon ki mehal lagti hai
Husan jis rang mein ho teri jhalak lagti hai
Shaam hotay hee nigahon mein utar atay ho
Dil ki dharkan teray peron ki dhamak lagti hai
Is liye phool mein kalar mein saja leta hoon
In ki khushboo teray aanchal ki mehak lagti hai
Jaisay guzra ho abhi tu meray darwazay say
Ab hawa bhi teri payal ki khanak lagti hai
Kisi barish k barastay hee jo ghir aati hai
Teri aankhon mein wo rangon ki dhanak lagti hai
Is liye chand teray husan ka garveeda ha
Teray paikar mein un aankhon ki chamak lagti hai
Janay kyou wo meri aankhon ko bhala lagta hai
Jis k chehray pay zara teri jhalak lagti hai
Jis ki awaz mujhay had say bhali lagti hai
Ab wo hansi teray lehjay ki kasak lagti hai


ENIA

Tang Kiya...

Aaj phir mujh ko hawaon nay bohat tang kiya
Dil ki khamosh sadaon nay bohat tang kiya
Teri mehfil mein hum bhi chalay aaye thay laikin
Teri mehfil kay khudaon nay bohat tang kiya
Aik bhi zakhm mera us k sabab bhar na saka
Apni yek tarfa wafaon nay bohat tang kiya
Aik lamha bhi tu khushion ka mayasar na huwa
Zindagi teri sazaon nay bohat tang kiya
Jab say bichra hoon mein us jan-e-wafa say ay dost
Chand taroon nay fizaon nay bohat tang kiya


ENIA