Friday, May 21, 2010

Aankhon Mein...

Na janay dhoondtay ho kya meri veeran aankhon mein
Chupa rakhay hum nay toh kayi toofan aankhon mein,

Kahan wo sokhiyan pehlay si ab kuch bhi nahi baqi
Chalay aaye ho tum kya khojnay in bay-jaan aankhon mein,

Kis ka hath lekar hath mein jab tum milay hum say
Toh kaisay toot kay bikhra tha mera maan aankhon mein,

Na samjho chup hain tu tum say koi shikwa nahi baqi
Hum apnay dard ki nahi rakhtay koi pehchaan aankhon mein,

Milay thay baad muddat k humein tum ajnabhi ban kar
Toh kaisay dard na utra meri hairaan aankhon mein,

Nahi ab phir say koi rabta rakhnay say kuch hasil
K ab dafna diye hum nay sabhi armaan ankhon mein....

ENIA

No comments: