Tuesday, March 30, 2010

Cheharaa Meraa Thaa Nigaahey Us Ki..

cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii
Khaamushii me.n bhii vo baate.n us kii

mere chehare pe Gazal likhatii ga_ii.n
sher kahatii hu_ii aa.Nkhe.n us kii

shoKh lamho.n kaa pataa dene lagii.n
tez hotii hu_ii saa.Nse.n us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahe.n jab apanii thii.n shaame.n us kii

dhyaan me.n us ke ye aalam thaa kabhii
aa.Nkh mahataab kii yaade.n us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aa.Ndhiyaa.N merii bahaare.n us kii

niind is soch se TuuTii aksar
kis tarah kaTatii hai.n raate.n us kii

duur rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahe.n us kii



Praveen Shakir

ENIA

Saturday, March 20, 2010

Aaghaz Or Anjaam

AaGaaz to hotaa hai anjaam nahii.n hotaa
jab merii kahaanii me.n vo naam nahii.n hotaa


Jab zulf kii kaalikh me.n ghul jaaye ko_ii rahii
bad_naam sahii lekin gum_naam nahii.n hotaa


Hans Hans ke javaa.N dil ke ham kyo.n na chune.n Tuka.De
har shaKhs kii qismat me.n inaam nahiin hotaa

Behtey hue aa.Nsuu ne aa.Nkho.n se kahaa tham kar
Jo mai se pighal jaaye vo jaam nahii.n hotaa

Din Duube hai.n yaa Duubii baaraat liye kashtii
saahil pe magar ko_ii koharaam nahiin hotaa


By Meena Kumari..

ENIA

Sunday, March 14, 2010

Qateel Shifayi

jo bhii gu.nchaa tere hoTho.n par khilaa karataa hai
vo merii ta.ngii-e-daamaa.N kaa gilaa karataa hai

[gu.nchaa=flower bud; ta.ng=shortness/lack of breadth]

der se aaj meraa sar hai tere zaano.n par
ye vo rutbaa hai jo shaaho.n ko milaa karataa hai

mai.n to baiThaa huu.N dabaaye huye tuufaano.n ko
tuu mere dil ke dha.Dakane kaa gilaa karataa hai

raat yo.n chaa.Nd ko dekhaa hai nadii me.n raksaa.N
jaise jhuumar tere maathe pe hilaa karataa hai

[raksaa.N=dancing]

kaun kaafir tujhe ilzaam-e-taGaaful degaa
jo bhii karataa hai muhabbat kaa gilaa karataa hai

[ilzaam=accusation; taGaaful=neglect

With All Respect To Qateel Sahab

ENIA

Thursday, March 4, 2010

Mana Lo

Main Thak Gayi Hoon Jana'n !!
Kandho'n Pe Daale Kab Se
Beetey Dino'n Ki Yaadai'n
Tumhari Rah Guzar Main
Gumsum Khari Hui Hoon
Ek Aas Si Hai Dil Ko
Palto Ge Tum Kabhi Tou
Lekin Ae Mere Jana'n
Tum Se Meri Taraf Tak
Jitne Bhi Raaste Hain
Wo Bad-Gumanion K
Kanto'n Se Bhar Chuke Hain
Kanto'n Main Meri Khatir
Koi Rasta Bana Lo
Bas Ab Mujhe Mana Lo......


ENIA

MERI BEBASI BHI AJEEB HAI

meri mout hai meri humsafer meri zindagi bhi ajeeb hai
mere chaaron taraf hai jalwager,teri berukhi bhi ajeeb hai

mera dard hai lab e aashna,teri ranjishon k azaab se
mere shair hain mere charager meri dil lagi bhi ajeeb hai

ju hain tana zann meri zaat per,mujhe un se koi gila nahin
mujhe jaan se woh azeez ter meri bandagi bhi ajeeb hai

main lahoo jiger se gudaaz ker,tujhe naqsh kerta hon werq werq
hai qalam ki nook se mukhtasir,teri aag'hi bhi ajeeb hai

MAIN PAHER KI TAPTI HAWAON SE,KARI DHOOP MEIN KHARA BEKHABER
SAR E RAAH TERA MUNTAZIR "MERI BEBASI BHI AJEEB HAI"


ENIA

WAQT NAHI ”

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi…

ENIA

Shayad

Wo Ek Masoom Si Chahat
Wo Ek Benaam Si Ulfat
Wo Meri Zaat Ka Hissa
Wo Meri Zeest Ka Qissa
Mujhy Mehsoos Hota Hay
Wo Mere Paas Hay Ab Bhi
Wo Jab Jab Yaad Ata Hay
Nigahon Main Samata Hay
Zuban Khamosh Hoti Hay
Magar Ye Aankh Roti Hay
Main Khud Se Pooch Leta Hun
Jise Main Yaad Karta Hun
Use Kya Pyaar Tha Mujhse
Jawab "Han" Soch Leta Hun
Use Bhi Pyaar Tha Shahyad
Ise "Shayad" Se Wabasta Hay Ab To Har Khushi Meri
Yehi Ek Lafz "Shayad" Ban Gaya Hay Zindagi Meri.....

ENIA

Gham E Zindagi

Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gay”
“Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay”

Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay

Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Gay

Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay

Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gay


ENIA

Diya

Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gay”
“Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay”

Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay

Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Gay

Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay

Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gay

Bohut Tha.........

Paas Woh Itna Tha Jaise Dil Aur Dharkan,
Dekha Toh HUm Dono Mein Fasla Bhi BUhat Tha,

Milne Ki Tarah HUm Mil Na Paye Kabhi,
Mera Aur Uska Rabta Bhi Buhat Tha,

Itnay Arsay Mein Bhi Usay Mujhpar Aithbar Na Aya,
Yeh Sach Hai K Woh Mujhe Janta Bhi Buhat Tha,

Woh Mil Kar Bhi Na Mil Saka Yeh Muqaddar Ki Baat Hai,
Maine Duaon Mein usay Manga Bhi BUhat Tha,

Ruswai K Dar Se Woh Rakh Na Saka Muhabbat Ka Bharam,
Laikin Yeh Sach Hai K Woh Mujhe Chahta BHi BUhat Tha.....!!!


ENIA

Reza Reza...

Ghar me sooraj k utarnay ka bohut ranj hua
kal mujhe raat guzarnay ka bohut ranj hua

jisne kr diya meri zaat ko rezaa rezaa
mujhko us k bikhharnay ka bohut ranj hua

yoon to es sheher men ab jhoot koi aib nahi
janay kiu tere mukarnay ka bohut ranj hua

ab tujhe dekhnay milnay ki tamanna hi nahi
niyyat-e-shoq k bhar janay ka bohut ranj hua

kooch kar jayengay QAIS to kehai gi dunya
hum ko ek shaks k janay ka bohut ranj hua

Enia