Thursday, April 29, 2010

Zara Parey...

Ik chand tanha khila raha
mere asman say zara paray
mere sath sath safar main tha
mere manzilon say zara paray
teri justuju k hisar se
tere khawab tere khayal say
main woh shaks tha jo khara raha
tere chahton say zara paray
kabhi dil ki bat kahi nahin the
jo kahi teh woh bhi dabi dabi
mere lafz porey to the magar
samaoton se zara paray
tu chala geya mere hamsafar
zara dkeh mur k ik nazar
mere kashtiyan hain jali hoyen
tere sahilon sway zara paray .....


ENIA

Saturday, April 17, 2010

Kaun Hu Main...

Poochty ho to suno kon hun main ......... .........
Chund simtay hue ashaar hun main ......... ........

Sirf tareef se yaha(n) kuch nahi hota ............ ........
Aap ki duao(n) ka talab_gaar hun main .......... .......

Bayaan_e_dil paish karta hun jab ........ .........
Log kehty hain dil_e_beemar hun main .......... ........

Bolun agar khara to hun shamsheer ........... .........
Or agar likh daalo(n) to talwaar hun main .......... .........
Tareef karny par agar utar aao(n) kabhi .......... ..........
To gul_faam hun main, gulzaar hun main .......... ..........

Jazbaat ko sawaarna jaanta hun bohat khoob ............ .........
Shaiyri ka sar_taj hun , shah_kaar hun main ....... ..........

Lafzo(n) se yun khelna sab ko nahi aata ........... ...........
Mujhy aata hai, samajh_daar hun main .............. ..........

Hain or bhi sukhan_war is hunar k dost ............ ..........
Mat bolo k 'Tanha' guneh_gaar hun main


ENIA

Maan Jana

Main apni raton ki fursaton mei
jo tujhe munao tu mann jana...

kise din mei apne ansu
jo le k ayoo tu mann jana...

ye aik dil hi tumhe diya tha
so is ko tum ne tor dala...

.
shikasta dil ki in kirchiyon ko
samait lao tu mann jana..

.
tu khush nahi hey meri baqa p
to sirf itna hi yadd rukh le..

.
teri khushi k liye jo sooli pe
muskerao tu mann jana....

tu budguman hey meri wafa pe
tu sirf ek bar azama le.....

jo harr jau tu lout jana
jo jeet jao tu maan jana


ENIA

Mohabbat Ka Ikhtiyaar...

Kabhi Tum apni Mohabbat ka Aitbaar to do ........ ......... !
Main chahun Toot k Tum ko ye Ikhtiyaar to do ........ ......... !

Guzarti hi nahi Mujh se ye Zindagi Tanha ........ ......... !
Sahara Pyaar ka de kar esey guzaar to do ........ ......... !

Main sochta Hun Tumhary bagair kya hoga ........ ......... ?
Dil-o-Dimaag per ek Bhoj hai utaar to do ........ ......... !

Mere khayal ki Raaho9n) ko Keh_Kishaa(n) kar do ........ ......... !
K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar to do ........ ......... !

Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar ka Mudawa hai ........ ......... !
Main Intizaar karun magar Zabt-e-Intizaar to do ........ ......... !


ENIA

Ek Roz...

Ek roz tum ne thama tha haath mera
mere haath se tere haath ki khushbu nahi jati
tum bohat pyar se pukartey they naam mera
mere kaano se tumhari woh aawaz nahi jati
main bulata bhi na tha aur tum aa jatey they
ab bulaney per bhi meri aawaz tum tak nahi jati
bus chukey ho meri nus nus mein tum lahu ki terha
meri ulfat tumhari rooh mein uter kyun nahi jati
main janta hoon yeh sheher yeh rastey tumhare nahi
phir bhi meri aankhon se intizar ki aadat nahi jati

ENIA

Hazarao Pal...

Hazarou pal tumahre bin,
na pucho kaise katte hai,
kabhi yadien satati hai,
kabhi mosam rulatein hai
,hamara mann rakh lena..
hamein dil me basa lena..
bahut tute hue dil se ..
bahut rutha nahi karte..
zamane se chaupate hai..
ise ruswa nahi karte..
suno aisa nahi karte..j
ise shafaf rakhna ho..
use maila nahi karte..!!


ENIA

Saturday, April 10, 2010

Parakhney Ka....

Kyaa bhalaa mujhako paraKhane ke natiijaa nikalaa
zaKhm-e-dil aap kii nazaro.n se bhii geharaa nikalaa

Tod K dekh liyaa aaiinaa-e-dil tuune
terii suurat ke sivaa aur bataa kyaa nikalaa

Tishnagii jam gaii patthar kii tarah ho.nTo.n par
Duub kar tere dariyaa mein main pyaasaa nikalaa


ENIA

Mera Dil Bhi..

Meraa dil bhii shauq se todo ek tajurbaa aur sahii
laakh khilone tod chuke ho ek khilonaa aur sahii

Raat hai Gam kii aaj bujhaa do jalataa huaa har ek chiraaG
dil mein andheraa ho hii chukaa hai ghar mein andheraa aur sahii

Dam hai nikalataa hai ik aashiq kaa bhiid hai aa kar dekh to lo
laakh tamaashe dekhe honge ek nazaaraa aur sahii

khanjar le kar sochate kyaa ho qatl bhii kar Daalo
daaG hain sau daaman pe tumhaare ek izaafaa aur sahii



ENIA

Friday, April 9, 2010

Us Ki Hasrat

Us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.N
Dhuu.NDhane us ko chalaa huu.N jise paa bhii na sakuu.N

[hasarat=desire ]

Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa
Kuchh yeh mehandii nahii.n merii ke miTaa bhii na sakuu.N

zabt kam_baKht ne aur aa ke galaa gho.NTaa hai
ke use haal sunaa_uu.N to sunaa bhii na sakuu.N

[zabt=forbearance]

us ke pahaluu me.n jo lejaa ke sulaa duu.N dil ko
niind aisii use aaye ke jagaa bhii na sakuu.N

[pahaluu=lap ]

naqsh-e-paa dekh to luu.N laakh karuu.Ngaa sajade
sar meraa arsh nahii.n hai ki jhukaa bhii na sakuu.N

bevafaa likhate hai.n vo apanii kalam se mujh ko
ye vo qismat kaa likhaa hai jo miTaa bhii na sakuu.N

is tarah soye hai.n sar rakh ke mere zaano.n par
apanii so_ii hu_ii qismat ko jagaa bhii na sakuu.N



ENIA

Thursday, April 8, 2010

Ishq Mein...

ishq me.n jaa.N se guzarate hai.n guzarane vaale
maut kii raah nahii.n dekhate marane vaale

aaKhirii vaqt bhii puuraa na kiyaa vaadaa-e-vasl
aap aate hii rahe mar gaye marane vaale

[vaadaa-e-vasl=promise to meet]

uThe aur kuuchaa-e-mahabuub me.n pahu.Nche aashiq
ye musaafir nahii.n raaste me.n Thaharane vaale

[kuuchaa-e-mahabuub=the street where one's beloved stays]

jaan dene kaa kahaa mai.n ne to ha.Ns kar bole
tum salaamat raho har roz ke marane vaale

aasmaa.N pe jo sitaare nazar aaye 'Ameer'
yaad aaye mujhe daaG apane ubharane vaale


By Ameer Minai

ENIA

Acchey Eisaa Ho...

Achchhe isaa ho marizo kaa Khayaal achchhaa hai
Hum mare jaate hai tum kahate ho haal achchhaa hai

Tujh se mangu mai tujhi ko ki sab kuchh mil jaaye
Sau savaalo se yahi ek savaal achchhaa hai

Dekh le bul_bul-o-paravaanaa ki betaabii ko
Hijr achchhaa na haseeno kaa visaal achchhaa hai

Aa gayaa us kaa tasavvur to pukaaraa ye shauq
Dil mein jam jaaye ilaahii ye Khayaal achchhaa hai


By Ameer Minai


ENIA

Wednesday, April 7, 2010

Dil K Dariya Ko....

dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai
itanaa besimt na chal lauT ke ghar jaanaa hai

us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai
jaise paanaa hii use asl me.n mar jaanaa hai

bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaa_ii kyaa hai
dil ko rukanaa hai ki taaro.n me.n Thahar jaanaa hai

kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke
us ko har taur suu-e-dasht-e-sahar jaanaa hai

mai.n khilaa huu.N to isii Khaak me.n milanaa hai mujhe
vo to Khushbuu hai use agale nagar jaanaa hai

vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil
har musaafir ko isii ghaaT utar jaanaa hai


By Amjad Sahab


ENIA

Aisi Shaam

Aisi hi sard shaam thi vo bhi
Jab vo mehandi rachaaye haatho mein

Apani aahat k Khauf se larazaan (trembling)
Surkh anchal mein muuh chhipaaye hue

Apney Khat mujh se lene aayi thi
Us ki sahami hui nigaaho mein

Kitanii Khaamosh iltijaaye thi
Us ke chehare ki zard(Yellowish) rangat mein

Kitni majabuuriyo k saaye the
Mere haatho se Khat pakadtey hi

Jaane kyaa soch kar achaanak vo
Meraa shaanaa(Shoulder) pakad kar royi thi

Us k yaaquut(Ruby, A Gem) rang honthon k
kap_kapaate hue kinaaro par

Saikdo unkahe fasaane the
Sard shaamo mein der tak aksar

Jab ye manzar dikhayi deta hai
Ek lamhaa hinayi haatho se

Mujh ko apni taraf bulaataa hai
Humnashi rooth kar naa jaa mujh se

Aisi hi sard shaam thi vo bhi






ENIA

Friday, April 2, 2010

Mohabbat Chupa Raha Hai Koi.....

Ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai koi,
hai ashk aankon mein aur muskuraa rhaa hai koi.

Nazar nazar mein tajallii dikhaa rahaa hai koi,
nafaz nafaz pe mujhe yaad aa rahaa hai koii .

TaKhayulaat ke dhoke hai sab shab-e-vaadaa,
na aa rahaa hai koii aur na jaa rahaa hai koi.

Ye husn-o-ishq ki tasviir ke hai do manzar,
ki ro rahaa hai muskuraa rahaa hai koii

"Qadeer" hashr mein pahunche to ham ne kyaa dekhaa
kisii ke haath se daaman chhu.Daa rahaa hai koi.


By Qadeer


ENIA