Monday, April 25, 2011

Yakeen Ho Chala

tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto

sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto

By Ahmad Faraz

Wo.....

Gaye dino ka suraag lekar kidhar se aaya kidhar gayaa wo
ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairaan kar gayaa wo,

Khushi ki rut ho ke gam ka mausam nazar usse dhoondti hai hardum
wo boo-e-gul tha ke nagma-e-jaan mere to dil mein utar gayaa wo,

wo maikade ko jagaane waala wo raat ki neend udaane waala
na jaane kya uss ke jee mein aayee ki shaam hote hi ghar gayaa wo,

kuch ab sambhalane lagi hai jaan bhi badal chala rang aasmaan bhi
jo raat bhaari thi tal gayee hai jo din kadaa tha guzar gayaa wo,

shikastapaa raah mein khadaa hoon gaye dino ko bula raha hoon
jo qaafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gayaa wo,

bas ek manzil hai bulhavas ki hazaar raste hain ahl-e-dil ke
ye hi to hai farq mujh mein uss mein guzar gayaa main thahar gayaa wo,

na ab wo yaadon ka chadhta dariya na fursaton ki udaas barkhaa
yoon hi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gehra thaa bhar gaya wo,

wo raat ka benawaa musafir wo tera shaayar wo tera 'Nasir'
teri gali tak to hum ne dekha phir na jaane kidhar gaya wo......

By..Naseer Kaazmi