Wednesday, May 11, 2011

Gehri Thi...

Batao dil ki baazi mein Bhala kya baat gehri thi***
Kaha yun to sabhi kuch theek tha Par maat gehri thi***

Suno barish 'kabhi khud se bhi badh kar koi dekha hai,,
Jawaab aaya un aankho ki magar Barsaat Gehri thi***

Suno tumney Holey se kaha tha kya Btao Gey,,
Jwaab aaya kaha to tha magar woh Baat Gehri thi***

Diya dil ka samandar usney tumko, kya kiya uska___
'Humein bus doob jana tha keh wo saughaat gehri thi'***

Wafa ka dasht kaisa tha, batao tum pe kya beeti___
'Bhatak jaana hi tha humko wahaan par raat gehri thi'***

Tum us ke zikr par kyun doobey jaate ho,khyaloon mein?
Rafaqat aur adawat apni, us k saath gehri thi***

Nazar aya tumhein us Ajnabi mein kya, btao gey___
Suno Qaatil Nigahon ki woh Zaalim ghaat gehri thi***

ENIA

Sath Hai...

Tera hiJr mera naseeb hai tera Gham hi meri hayaat hai
muJhe teri dori ka Gham ho kyun to kahin bhi ho mere saath hai

mere waaste tere naam par koi harf aaye nahin nahin
muJhe Khauf_e duniyaa nahin magar mere ruu-ba-ruu teri zaat hai

tera wasl Ay meri dilarubaa nahin meri kismat to kya hua
meri mahaJabin Yehi kam hai kya teri hasaraton ka to saath hai

tera ishq muJh pe hai maharabaaN mere Dil ko haasil hai do Jahaan
meri Jan_e Jaan isi baat par meri Jaan Jaye to baat hai

ENIA

Shikast ...

Jaane kyon shikast ka azaab liye phirta hoon..
Main kya hoon aur kya khwaab liye phirta hoon...
usne ek baar kiya tha sawaal-e-mohabbat..
Main har lamha wafa ka jawaab liye phirta hoon...
Usne poocha kab se nahi soye..
Main tab se rat-jago'n ka hisaab liye phirta hoon...
Uss ki khwaahish thi ke meri aankhon mein pani dekhe..
main uss waqt se aansou'n ka sailaab liye phirta hoon...
Afsos ke phir bhi wo mera na hua ..
Main jis ki aarzuo'n ki kitaab liye phirta hoon...

By Ahmad Faraz