Wednesday, February 9, 2011

Bilkul Bhula Dena...

Bina Jurm-O-Khata, Khud Ko Koi Aisi Saza Dena
Boht Mushkil Hai Meri Janaa!! Tumhein Bilkul Bhula Dena

Mere Maula! Agar Tuu Ne Dubara Zindagi Bakhsi
To Bus Itni Guzarish Hai, Mujhe Patthar Bana Dena

Main Zehni Tor Per Khud Ko Zara Tayyar Kar Loonga
Bichar Jane Se Kuch Pehley Mere Hamdam Bata Dena

Meri Yeh Shararat Aaj Tak Naqsh Hogi Dharkan Per
Dabe Paoon Chale Ana, Tera Jhumka Hila Dena

Faqat Itna Kaha Tha Na?.. Mujhe Kuch Roshni Dedo
Tumhein Kis Ne Yeh Bola Tha, Meri Basti Jala Dena

Jise Barish K Paani Main Baha Ker Muskhurate The
Mujhe Kagaz Ki Wo Kishti Zara Phir Se Bana Dena

Umar Bhar Phir Tumhara Rasta Takne Se Acha Hai
K Tum Jane Se Kuch Pehley Meri Aankhien Bhuja Dena

ENIA

Kaisa...

Phira Hoon Saray Zamanay Main Dar Bdar Kesa
Main Teray Badd Bhi Zinda Raha Mager Kesa

Wo Janta Tha Keh Kuch Rooz Wo Nahi Tha Tu Main
Pukarta Raha Us Ko Edhar Udhar Kesa

Na Aitabaar, Na Aasoodgi Na Qurb Tera
Fqat Takalluf -e- Deewar o Darr Hai , Ghar Kesa

Aziz Ter Thi Jesay Neend Shaam Wasaal Main Bhi
Wo Teray Hijar Main Jaga Hai Umar Bhar Kesa

Bas Ak Shaks Ki Khater, Bas Ak Dil Kay Liye
Watan Ko Taj Dia Dewange Main Ghar Kesa

Kaha Ke Doste, Kesa Faraq, Koon Faraz
Main Khud Ko Bhool Gia Tujh Ko Bhool Kar Kesa........!!!

ENIA

Tumharey Pass Mar Jau...

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Loot Jata Hoon,

Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Hoon,
...
Magar Phir Ae Mere Hamdam
Mujhe Itna To Batla Do,

K Wapis Kiss Taraf Jaoun
Kahan Sey Sath Lai Thay,

Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin,

To Mujh Ko Is Trha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun,

Bhatakne Sey To Behter Hai
Tumhary Pass Mar Jaoun..

ENIA

Uss Ne Kaha...

Uss Ney Kaha Key Hum Bhii Kharii-daar Ho Gaye
Bikne Ko Saarey Log Hii Tiyyaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha Key Aik Wafadaar Chaahiye
Sarey JahaN Key Log Wafadaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha Key Koii Gunah-Gaar Hai YahaN
Jo Paarsaa They Woh Bhii Gunah-Gaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha Key Aajiz-O-MaskiiN Hai koi
Sab Log Gard-E-Kucha-O-Bazaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha Key Kash Koii Jang-Ju Miley
Aapas Main Yaar Barsar-e-Paikaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha “ADEEM” Mera Hath Thaam-Na
ChaaroN Taraf Sey Hath Namuu-Daar ho Gaye...!!!

By..
Adeem Hashmi

Mausam Mein...

NafrateiN jo botey haiN, ranjashoN ke mosam maiN
Khaali haath rehtey haiN, chaahatoN ke mosam maiN

Khwahishon ki shakhon par adh khilee sabhi kaliyaan
Lamha lamha marti hain, furqaton ke mosam main

Manzilein to dhoka hain jaantey hain hum leikin
Phir bhi chaltey rehtey hain, hijraton ke mosam main

Aaankh hi to chalki hai, is pe hairatein keisee?
"Baarishein to hoti hain,baarishon ke mosam main"

Ab usey shikaayat hai, aetabaar kiyoon TooTa?
Saath jis ne choRa tha,waswason ke mosam main

Bin terey bhi jaan-e-jaan, jii to leiN ge ham leikin
Beqaraar lamhon main, ratjagon ke mosam main

Us ne khat main likhaa hai, beqaraar hai woh bhi
Roz-o-shab taRapta hai, duuriyon ke mosam main

Is se baRh ke kaya ho gi, bad naseebi aur apni
Ranjishen nibhaani hain, chaahaton ke mosam main

Aao tumko dikhlaayein, hum bhi daagh-e-dil apne
Mehshar-e-muhabbat hai, khalwaton ke mosam main.

ENIA

Haarey Hai!!!

Zabt Ki Konsi Manzil Thi? Kis Muqaam Per Aa Kar Haarey Hain
Itna To Tumhain Maaloom Hi Hai, Tere Naam Pe Aa Kar Haarey Hain

Kabhi Khud Per Jabr Kia Hum Ne, Kabhi Khud Ko Yun Bae-Mol Kia
Hum Subhon K Lautney Waaley They Aik Shaam Per Aa Kar Haarey Hain

Aik Dard Musalsal Hota Hai Aik Baarish Ander Hoti Hai…!
K Heeron Jaisey Log Yahan Ilzaam Pe Aa K Haarey Hain

Kab Jeet Ka Da'aawa Hum Ne Kiya Ye Azal Aabad Ka Qissa Hai
Hum Bae-Khabri K Aalam Main Anjaam Pe Aa Kar Haarey Hain….!

ENIA