Sunday, July 31, 2011

Badal Gaye...

Yoon Dost Saarey Apney Apney Rastey Badal Gaye
Kuch Peechey Ruk Gaey To Kuch Aagey Nikal Gaye

Haalaat Ki Dhoop Zaraa Sii Dair Ko Taiz Kya Hui
Jitney Wafa Ke Peikar Thay Saarey Pighal Gaye

Waadon Ke Taarey Raaton Say Baahar Na Jaa Sakey
Iraadon Ke Din Nikalney Say Pehley Hi Dhal Gaye

Wafaaon Ke Rang Shabnam Ke Qatron Say Mit Gaye
Muhabbat Ke Phool Jazbon Ki 'Shiddat' Say Jal Gaye

Aankhein Khulin To Khwaabon Ko Bura Laga Magar
Kuch Dair Woh Reh Ke Muztarib Khud Hi Behal Gaye

Pehley Pehal To Ajeeb Lagey Badley Huwey Chehrey
Lekin Phir Waqt Ke Saath Saath Hum Bhi Sambhal Gaye !!

Tasveer Tumhari...

Tum chalay gayay aur tasweer tumhari reh gai
kehnay waali thin jo baateyn wo saari reh gai

Tumhari yaad ne kal shab bohot sataaya mujhe
meri aankhon may dekho kaysi khumaari reh gai

Ibteda-e-ishq may yun garm hue thay magar ab
shola-e-jaan sard hua, bas ik chingaari reh gai

Huaa jab ilm, kay wo aaj bhee nahee aayay
husn aur ishq kee saaree tayyaaree reh gai

Nazar miltay hi yun aapas may mil gayay 2 dil
kuch zara kaam na aai saari hushiyaari reh gai

Ajab jazbaat say us nay jo pukaara: !!
haya ankho me aur chehre pe sharm-saari reh gai !!

Chiragh....

Jo hai is chiraagh ki zindagi, usi zindagi ke khilaaf hai
Ye chiraagh kaisa chiraagh hai jo roshni ke khilaaf hai

Ye jala diya wo bujha diya, ye to kaam hai kisi or ka
Na hawa ke koi khilaaf hai,Na hawa kisi ke khilaaf hai

Wo hai bewfa to wfa kro, jo asr na ho to dua kro,
Jise chaho use bura kaho, ye dosti ke khilaaf hai

Wo jo dhoop thi wo simt gyi, wo jo chandni thi bikhr gyi
Magr ek jugnu haqeer sa , abhi teergi ke khilaaf hai

Woh jo mere ghum mai shareek tha, jise mera ghum azziz tha
Mai jo khush hui to pta chala, wo meri khushi ke khilaaf hai!!