Tuesday, October 11, 2011

Teri Yaad

tujay kiaa pata teri yaad nay mujay kis terhaa say sataa diaa
kabhi khilvaton may hansa diaa,kabhi mehfilon may rulaa diaa
kabhi yun huaa ky meray kiay sajday qaza gayee,
kabhi teree hee yaad nay mujay meray RAB say mila diaaa...

Kyu Hai...

Teri tasweer meri Nigaaho mai hardam kyun hai...
Aaine to tutate rahte haiN tumhe gham kyuN hai...

Wohi lamhe wohi manjar wohi yaado ke hujjuM*...
Aur kya chahiye? Maayus mere sanam kyuN hai...

Mere na hone se shayad raahat haiN zamaane ko...
Shor ye kaisa hangaama-e-maatam kyuN hai...

Har mulaaquaat pe mujhko ye hota hai gumaan...
Faasley furkat ke ye itney beraham kyuN hai...

Dil ko sadalakht kiya sine ko bhi sad chaak kiya...
Ab bhi dilresh* mai dhadkati tu paiham* kyu hai...

Maine sincha haiN apne ashqo se dil ke gulshan ko...
Baag-e-hasti* mai khizaaoN* ka mausam kyuN hai...

Sunday, October 9, 2011

Seekh Liya

Jaltee bhujtee dhoop mian sard hawa main rehna seekh liya
Is sey bhichar k hijr ka ik ik mausam sehna seekh liya

Sahil sahil takra key jab choor huey tab hum ne bhee
Darya ke lehroon mian lehrain ban ker jena seekh liya

Apna dukh bas apna he dukh hota hai ye jaan liya
Apney app sey apnee saaree baatein kehna seekh liya

Naee nawele tanhaee ke baahein daal ke baahoon main
Raat gaye tak nehr kinarey baithey rehna seekh liya

Guzara

us ki ankhoon mein mouhabat ka sitara hoga...
aik din ayee ga woh shaks humara hoga...

tum jahaam meray liyee sipiyaan chunti hogi...
woh kissi aur hi duniya ka kinara hoga...

zindagi! ab kay mera naam na shamil kerna...
gar yeh tey hai kay yehi kheel dobara hoga...

jis kay honay say meri saans chala kerti thi...
kis tarhaan us kay baghair apna guzara hoga...

Friday, September 23, 2011

Ba-Wajood

Main Umr Bhar Kii Andhi Parastish Kay Ba-WajOod
Phir Dasht e Naarsa Mein hOn kOshish Kay Ba-WajOod

mUddat Kay Baad Us Ko jO Dekha tO yOn hUaa
Dil Tham Gya KhOon Kii GirdiSh Kay Ba-WajOod

Meri Trah Kisi Kii Nazar Mein Na Charh Saka
jUngle Ka PhOol Apni nUmaaish Kay Ba-WajOod

KhUd-rO hOn Dasht e fUn Ki Riwayaat Kay Bar-Khilaaf
Zinda hOn Abr o Rait Kii Saazish Kay Ba-WajOod

Shaayed Yahii hAi Jazba e Eesaar dOsto
Main Haarta hOn Jeet Kii Khwaahish Kay Ba-WajOod

ENIA

Sunday, July 31, 2011

Badal Gaye...

Yoon Dost Saarey Apney Apney Rastey Badal Gaye
Kuch Peechey Ruk Gaey To Kuch Aagey Nikal Gaye

Haalaat Ki Dhoop Zaraa Sii Dair Ko Taiz Kya Hui
Jitney Wafa Ke Peikar Thay Saarey Pighal Gaye

Waadon Ke Taarey Raaton Say Baahar Na Jaa Sakey
Iraadon Ke Din Nikalney Say Pehley Hi Dhal Gaye

Wafaaon Ke Rang Shabnam Ke Qatron Say Mit Gaye
Muhabbat Ke Phool Jazbon Ki 'Shiddat' Say Jal Gaye

Aankhein Khulin To Khwaabon Ko Bura Laga Magar
Kuch Dair Woh Reh Ke Muztarib Khud Hi Behal Gaye

Pehley Pehal To Ajeeb Lagey Badley Huwey Chehrey
Lekin Phir Waqt Ke Saath Saath Hum Bhi Sambhal Gaye !!

Tasveer Tumhari...

Tum chalay gayay aur tasweer tumhari reh gai
kehnay waali thin jo baateyn wo saari reh gai

Tumhari yaad ne kal shab bohot sataaya mujhe
meri aankhon may dekho kaysi khumaari reh gai

Ibteda-e-ishq may yun garm hue thay magar ab
shola-e-jaan sard hua, bas ik chingaari reh gai

Huaa jab ilm, kay wo aaj bhee nahee aayay
husn aur ishq kee saaree tayyaaree reh gai

Nazar miltay hi yun aapas may mil gayay 2 dil
kuch zara kaam na aai saari hushiyaari reh gai

Ajab jazbaat say us nay jo pukaara: !!
haya ankho me aur chehre pe sharm-saari reh gai !!

Chiragh....

Jo hai is chiraagh ki zindagi, usi zindagi ke khilaaf hai
Ye chiraagh kaisa chiraagh hai jo roshni ke khilaaf hai

Ye jala diya wo bujha diya, ye to kaam hai kisi or ka
Na hawa ke koi khilaaf hai,Na hawa kisi ke khilaaf hai

Wo hai bewfa to wfa kro, jo asr na ho to dua kro,
Jise chaho use bura kaho, ye dosti ke khilaaf hai

Wo jo dhoop thi wo simt gyi, wo jo chandni thi bikhr gyi
Magr ek jugnu haqeer sa , abhi teergi ke khilaaf hai

Woh jo mere ghum mai shareek tha, jise mera ghum azziz tha
Mai jo khush hui to pta chala, wo meri khushi ke khilaaf hai!!


Monday, June 27, 2011

By Mohsin Naqvi

yeh mere chaarun taraf kis liye ujala hai
tera khayal hai ya din nikalne wala hai

yaqeen maano main kub ka bikhar gaya hota
tumhaari YAAD NE ABB tak mujhe sanbhala hai

bhulaana chaho mager tum bhula naha sakte
tumhara naam meri zaaat ka hawala hai

hajoom e jashan main karta hai dil zaduu.n ko talash
mujhe jan.uun ne ajab imtehan main dala hai

kisi ka naam to hum le k shab main sote hain
koi to hai jo sahar dum jagaane wala hai

KHUDA KARE K UUSE ILAM BHI NA HO MOHSIN
WOO JIS K GIRD MERI CHAAHTUN KA HAALA HAI

Sunday, June 26, 2011

EK BAAT..

Jab Main doob Kay Likhti Hoon
Sab Log Mujh Se Yeh Kehtay Hain
Nazmon se Ishq Khuda Jaisa
Ghazlon Main Kaif Udasi Ka
Kis dost Ne Tum Ko Chor Diya
Mera Ik Jawab Hemesha hai
Ik Shaks Jo Sheher Mai Aya Tha
Kuch Roz Woh Mere sath Raha Tha
Mujhe Lehjay Ki Umrat Ras Main
Us Main Kuch Aisa Rang Diya
Phir Soch Kay Tanay Banay Main
Uljha Kar Mujh Ko Chor Diya
Kuch Din Us Ki Yaad Yunhi
Is Dil Pay Dastak Deti Hai
Aur Paon Main Zanjeer Parhi
Kab Hum Ko Janay Deti Hai
Kab Dil Main Us ki Aas Nahi
Yeh Baat Alag Woh Pass Nahiii.........!!!!!!!

ENIA

Roye..

Mairi dastan-e-hasrat woo suna suna k rooay
Mairay aazmanay walay mujhay aazma k rooay

Jo sunai anjuman main shab-e-gham ki aap biti
Kuch roo k muskuraey kuch muskura k rooay

Tairi kach adaeun pay tairi bay wafaiun pay
Kabhi moo chupa k rooay kabhi sar jhuka k roay

Main hoon bay watan musafir maira naam bai kasi hai
Maira koi bhi nahi jo mujhay galay laga k rooay

Mairay pass say guzar kar maira haal tak na poocha
Main ye kaisay maan loon k woo door jaa k rooay

By Faiz Ahmad "FAIZ"

abb k youn dill ko saza di hum ne
uss ki her baat bhula di hum ne

aik aik phuul bohat yaad aaya
shaak e gul jub wo jala di hum ne

aaj tak jis pe wo sharmate hain
baat wo kub ki bhulaa di hum ne

shehr e jehan raakh se aabad howa
aag jub dill ki bhuja di hum ne

aaj phir YAAD bohat aaya wo
ajj phir uss ko dua di hum ne

koi to baat hai uss main Faiz
her khushi jis pe lutaa di hum ne

Shaakh-E-GULAB

KahiN chaand rahooN maiN kho gaya...
kahiN chaandni bhi bhatak gaie ...

MaiN chiraagh woh bhi bujhaa hua ..
mairi raat kaisay chamak gaie ...

Meri dastaaN ka urooj tha...
teri narm palkooN ki chaooN meiN ...

Mairay sath tha tujhay jagna ..
teri aNkh kaisay jhapak gaie ...

Kabhi hum milay to bhi kia milay ...
wohi dooriyaaN wohi faslay ...

Na kabhi humaray qadam barhay ...
na kabhi tumahri jhijhak gaie ...

Tujhay bhool janay ki koshishaiN..
kabhi kamyaab na ho sakeeN ...

Tairi YAAD shakh e gulaab hai ...
jo hava chali to lachak gaie ....

ENIA

Yaad Ki Roshni..

Andheeri rahun k iss safar main
k jis ka unwaan zindagi hai
bohat se dushwaar marhale hain
ghamon k tareek silslay hain
dukhun se chalnii har ik khushi hai
bohat hi mushkil hai mere humdam
kuch aise rastun pe tanha chalna
mager jo mujh ko chala rehi hai
tumhaari YAADUN KI rooshni hai

ENIA

Bohut Se Naamo Pe..

Bahut Muddat Ke Baad Kal Jab
Kitab-E-Zindagi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se NaaMo Pe Dil Machla,
Ek Aisa Safa Bhi Aisa Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska NaaM Dost Tha,
Jo Safa Sabse Pyaara Aur Aziz Tha,
Kuch Aur Aansu Ispe Tapke,

Kitab-E-Zindagi Ko Band Kar Ke
TuMhari Yaadon Mein Kho Gayi Main,
Agar Tu Milta To Kya Hota,
Inhi Khayalon Main So Gayi Main...

ENIA

Wednesday, May 11, 2011

Gehri Thi...

Batao dil ki baazi mein Bhala kya baat gehri thi***
Kaha yun to sabhi kuch theek tha Par maat gehri thi***

Suno barish 'kabhi khud se bhi badh kar koi dekha hai,,
Jawaab aaya un aankho ki magar Barsaat Gehri thi***

Suno tumney Holey se kaha tha kya Btao Gey,,
Jwaab aaya kaha to tha magar woh Baat Gehri thi***

Diya dil ka samandar usney tumko, kya kiya uska___
'Humein bus doob jana tha keh wo saughaat gehri thi'***

Wafa ka dasht kaisa tha, batao tum pe kya beeti___
'Bhatak jaana hi tha humko wahaan par raat gehri thi'***

Tum us ke zikr par kyun doobey jaate ho,khyaloon mein?
Rafaqat aur adawat apni, us k saath gehri thi***

Nazar aya tumhein us Ajnabi mein kya, btao gey___
Suno Qaatil Nigahon ki woh Zaalim ghaat gehri thi***

ENIA

Sath Hai...

Tera hiJr mera naseeb hai tera Gham hi meri hayaat hai
muJhe teri dori ka Gham ho kyun to kahin bhi ho mere saath hai

mere waaste tere naam par koi harf aaye nahin nahin
muJhe Khauf_e duniyaa nahin magar mere ruu-ba-ruu teri zaat hai

tera wasl Ay meri dilarubaa nahin meri kismat to kya hua
meri mahaJabin Yehi kam hai kya teri hasaraton ka to saath hai

tera ishq muJh pe hai maharabaaN mere Dil ko haasil hai do Jahaan
meri Jan_e Jaan isi baat par meri Jaan Jaye to baat hai

ENIA

Shikast ...

Jaane kyon shikast ka azaab liye phirta hoon..
Main kya hoon aur kya khwaab liye phirta hoon...
usne ek baar kiya tha sawaal-e-mohabbat..
Main har lamha wafa ka jawaab liye phirta hoon...
Usne poocha kab se nahi soye..
Main tab se rat-jago'n ka hisaab liye phirta hoon...
Uss ki khwaahish thi ke meri aankhon mein pani dekhe..
main uss waqt se aansou'n ka sailaab liye phirta hoon...
Afsos ke phir bhi wo mera na hua ..
Main jis ki aarzuo'n ki kitaab liye phirta hoon...

By Ahmad Faraz

Monday, April 25, 2011

Yakeen Ho Chala

tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chalaa yaqein ke bure ham hain dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karein
aankhein to dushmanoun ki bhi pur_nam hain dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dam hain dosto

sab kuchh sahi 'Faraz' par itanaa zaruur hai
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto

By Ahmad Faraz

Wo.....

Gaye dino ka suraag lekar kidhar se aaya kidhar gayaa wo
ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairaan kar gayaa wo,

Khushi ki rut ho ke gam ka mausam nazar usse dhoondti hai hardum
wo boo-e-gul tha ke nagma-e-jaan mere to dil mein utar gayaa wo,

wo maikade ko jagaane waala wo raat ki neend udaane waala
na jaane kya uss ke jee mein aayee ki shaam hote hi ghar gayaa wo,

kuch ab sambhalane lagi hai jaan bhi badal chala rang aasmaan bhi
jo raat bhaari thi tal gayee hai jo din kadaa tha guzar gayaa wo,

shikastapaa raah mein khadaa hoon gaye dino ko bula raha hoon
jo qaafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gayaa wo,

bas ek manzil hai bulhavas ki hazaar raste hain ahl-e-dil ke
ye hi to hai farq mujh mein uss mein guzar gayaa main thahar gayaa wo,

na ab wo yaadon ka chadhta dariya na fursaton ki udaas barkhaa
yoon hi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gehra thaa bhar gaya wo,

wo raat ka benawaa musafir wo tera shaayar wo tera 'Nasir'
teri gali tak to hum ne dekha phir na jaane kidhar gaya wo......

By..Naseer Kaazmi

Wednesday, February 9, 2011

Bilkul Bhula Dena...

Bina Jurm-O-Khata, Khud Ko Koi Aisi Saza Dena
Boht Mushkil Hai Meri Janaa!! Tumhein Bilkul Bhula Dena

Mere Maula! Agar Tuu Ne Dubara Zindagi Bakhsi
To Bus Itni Guzarish Hai, Mujhe Patthar Bana Dena

Main Zehni Tor Per Khud Ko Zara Tayyar Kar Loonga
Bichar Jane Se Kuch Pehley Mere Hamdam Bata Dena

Meri Yeh Shararat Aaj Tak Naqsh Hogi Dharkan Per
Dabe Paoon Chale Ana, Tera Jhumka Hila Dena

Faqat Itna Kaha Tha Na?.. Mujhe Kuch Roshni Dedo
Tumhein Kis Ne Yeh Bola Tha, Meri Basti Jala Dena

Jise Barish K Paani Main Baha Ker Muskhurate The
Mujhe Kagaz Ki Wo Kishti Zara Phir Se Bana Dena

Umar Bhar Phir Tumhara Rasta Takne Se Acha Hai
K Tum Jane Se Kuch Pehley Meri Aankhien Bhuja Dena

ENIA

Kaisa...

Phira Hoon Saray Zamanay Main Dar Bdar Kesa
Main Teray Badd Bhi Zinda Raha Mager Kesa

Wo Janta Tha Keh Kuch Rooz Wo Nahi Tha Tu Main
Pukarta Raha Us Ko Edhar Udhar Kesa

Na Aitabaar, Na Aasoodgi Na Qurb Tera
Fqat Takalluf -e- Deewar o Darr Hai , Ghar Kesa

Aziz Ter Thi Jesay Neend Shaam Wasaal Main Bhi
Wo Teray Hijar Main Jaga Hai Umar Bhar Kesa

Bas Ak Shaks Ki Khater, Bas Ak Dil Kay Liye
Watan Ko Taj Dia Dewange Main Ghar Kesa

Kaha Ke Doste, Kesa Faraq, Koon Faraz
Main Khud Ko Bhool Gia Tujh Ko Bhool Kar Kesa........!!!

ENIA

Tumharey Pass Mar Jau...

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Loot Jata Hoon,

Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Hoon,
...
Magar Phir Ae Mere Hamdam
Mujhe Itna To Batla Do,

K Wapis Kiss Taraf Jaoun
Kahan Sey Sath Lai Thay,

Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin,

To Mujh Ko Is Trha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun,

Bhatakne Sey To Behter Hai
Tumhary Pass Mar Jaoun..

ENIA

Uss Ne Kaha...

Uss Ney Kaha Key Hum Bhii Kharii-daar Ho Gaye
Bikne Ko Saarey Log Hii Tiyyaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha Key Aik Wafadaar Chaahiye
Sarey JahaN Key Log Wafadaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha Key Koii Gunah-Gaar Hai YahaN
Jo Paarsaa They Woh Bhii Gunah-Gaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha Key Aajiz-O-MaskiiN Hai koi
Sab Log Gard-E-Kucha-O-Bazaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha Key Kash Koii Jang-Ju Miley
Aapas Main Yaar Barsar-e-Paikaar Ho Gaye

Uss Ney Kaha “ADEEM” Mera Hath Thaam-Na
ChaaroN Taraf Sey Hath Namuu-Daar ho Gaye...!!!

By..
Adeem Hashmi

Mausam Mein...

NafrateiN jo botey haiN, ranjashoN ke mosam maiN
Khaali haath rehtey haiN, chaahatoN ke mosam maiN

Khwahishon ki shakhon par adh khilee sabhi kaliyaan
Lamha lamha marti hain, furqaton ke mosam main

Manzilein to dhoka hain jaantey hain hum leikin
Phir bhi chaltey rehtey hain, hijraton ke mosam main

Aaankh hi to chalki hai, is pe hairatein keisee?
"Baarishein to hoti hain,baarishon ke mosam main"

Ab usey shikaayat hai, aetabaar kiyoon TooTa?
Saath jis ne choRa tha,waswason ke mosam main

Bin terey bhi jaan-e-jaan, jii to leiN ge ham leikin
Beqaraar lamhon main, ratjagon ke mosam main

Us ne khat main likhaa hai, beqaraar hai woh bhi
Roz-o-shab taRapta hai, duuriyon ke mosam main

Is se baRh ke kaya ho gi, bad naseebi aur apni
Ranjishen nibhaani hain, chaahaton ke mosam main

Aao tumko dikhlaayein, hum bhi daagh-e-dil apne
Mehshar-e-muhabbat hai, khalwaton ke mosam main.

ENIA

Haarey Hai!!!

Zabt Ki Konsi Manzil Thi? Kis Muqaam Per Aa Kar Haarey Hain
Itna To Tumhain Maaloom Hi Hai, Tere Naam Pe Aa Kar Haarey Hain

Kabhi Khud Per Jabr Kia Hum Ne, Kabhi Khud Ko Yun Bae-Mol Kia
Hum Subhon K Lautney Waaley They Aik Shaam Per Aa Kar Haarey Hain

Aik Dard Musalsal Hota Hai Aik Baarish Ander Hoti Hai…!
K Heeron Jaisey Log Yahan Ilzaam Pe Aa K Haarey Hain

Kab Jeet Ka Da'aawa Hum Ne Kiya Ye Azal Aabad Ka Qissa Hai
Hum Bae-Khabri K Aalam Main Anjaam Pe Aa Kar Haarey Hain….!

ENIA