Wednesday, February 9, 2011

Mausam Mein...

NafrateiN jo botey haiN, ranjashoN ke mosam maiN
Khaali haath rehtey haiN, chaahatoN ke mosam maiN

Khwahishon ki shakhon par adh khilee sabhi kaliyaan
Lamha lamha marti hain, furqaton ke mosam main

Manzilein to dhoka hain jaantey hain hum leikin
Phir bhi chaltey rehtey hain, hijraton ke mosam main

Aaankh hi to chalki hai, is pe hairatein keisee?
"Baarishein to hoti hain,baarishon ke mosam main"

Ab usey shikaayat hai, aetabaar kiyoon TooTa?
Saath jis ne choRa tha,waswason ke mosam main

Bin terey bhi jaan-e-jaan, jii to leiN ge ham leikin
Beqaraar lamhon main, ratjagon ke mosam main

Us ne khat main likhaa hai, beqaraar hai woh bhi
Roz-o-shab taRapta hai, duuriyon ke mosam main

Is se baRh ke kaya ho gi, bad naseebi aur apni
Ranjishen nibhaani hain, chaahaton ke mosam main

Aao tumko dikhlaayein, hum bhi daagh-e-dil apne
Mehshar-e-muhabbat hai, khalwaton ke mosam main.

ENIA

No comments: