Friday, March 6, 2009

Chahat K shauq Mein

khush thay kuch aisay teri rafaqat k shauq main*
manzil ganwa di ham ne musaafat k shauq main

nafrat hi pehr e daar mili har makaam par
jis darr pe ham gaey hain mohaabat k shauq main

ham baargah e ishq main maqbool youn hue
khud se bichar gaey teri qurbat k shauq main

lautay hain ab tou saath hai ranj o alam ki bheer
niklay thay ghar se ik musarrat k shauq main

apnay chaman se raabta bilkul nahi raha
sehra norad ho gaey daulat k shauq main

daaman main hasraton k siwa kuch nahi
aisay lutay hain ham teri chahat k shauq main

Enia

No comments: