Monday, May 10, 2010

Bhula Dey Mujhko...

Gungunatay huway aanchal ki hawa day mujh ko
Ungliyan balon mein pher k sola day mujh ko
Jis tarhan faltoo guldan lagay rehtay hain
Apnay ghar k kisi konay say laga day mujh ko
Yaad kar k mujhay tujh ko takleef hee hoti hogi
Ek qisa hoon purana sa bhula day mujh ko
Dobtay dobtay awaz teri sun jaon
Akhiri bar tu sahil say sada day mujh ko
Mein teray hijr mein chup chap na mar jaon kahin
Mein hoon saktay mein kabhi aa k rula day mujh ko
Daikh mein ho gaya badnam kitabon ki tarhan
Meri tash heer na kar ab jala day mujh ko
Roothna tera meri jaan liye jata hai
Aisay naraz na ho hans k dikha day mujh ko
Aur kuch bhi nai manga meray maalik tujh say
Us ki galion mein pari khad bana day mujh ko
Log kehtay hain ishq nigal jata hai
Mein bhi is ishq mein aya hoon dua day mujh ko
Yehi auqat hai meri teray jivan mein k mein
Koi kamzor sa lamha hoon bhula day mujh ko


ENIA

No comments: