Wednesday, May 6, 2009

Kuch To...

Kuchh to hawaa bhi sard thi kuch tha tera Khayaal bhi
Dil ko Khushii ke sath sath hota raha malaal bhi


Sab se nazar bacha k vo mujh ko aise dekhata
Ek dafaa to ruk gayi gardish-e-maah-o-saal bhi

Dil to chamak sakegaa kya phir bhi taraash k dekh lo
sheeshaagaraan-e-shahar k haath ka ye kamaal bhii

[taraash=chisel/polish (stone); sheeshaagar=glazier/one works with glass]

Us ko na paa sake the jab dil kaa ajeeb haal tha
Ab jo palaT ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhii


Merii talab tha ek shaKhs vo jo nahi milaa to phir
Haath duaa se yu Gira bhool gayaa Sawaal bhi

[talab=quest/want]

Shaam ki naasamajh hawa pooch rahi hai ek pata
Mauj-e-hawaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhii


Us ke hi Baazuuon mein aur us ko hi sochate rahe
Jism ki Khvaahishon pe the rooh ke aur jaal bhi

ENIA

No comments: