Thursday, May 7, 2009

Samjha Bhi Paoge...

Ba-zahir Aam Lehjey Mein
Kaha Tha Mainey Jab Uss Say
"Badal Lo Raasta Apna
Juda Raahein Yahin Kar Lo
Humarey Chahney Na Chahney Say
Kuch Nahin Hota
Ye Hi Sach Hai Ke Hum Do Mukhtalif
Raston Ke Raahi Hain
To Phir Kyun Dil Ki Maanein Hum
Shuroo Mein Maanta Hoon Main
Aziyat Dil Ko Pohnchey Gi
Magar Phir Waqt Guzrey Ga
Sabhi Zakhmon Ko Bhar Dey Ga"
Mairey Iss Aam Say Lehjey Pay Woh
Ikk Pal Ko Chonki Thi
Mairi Aankhon Mein Aankhein Daal Kar
Hairat Say Poocha Tha
"Ye Sab Jo Keh Rahey Ho Khud Ko Ye Samjha Bhi Pao Gey?"

Bohat Hi Jee Kadhaa Kar Ke
Main Uss Dam Muskuraya Tha
Bohat Khud Pay Jabar Kar Ke
Main Uss Say Keh Ye Paaya Tha

"Mairi Tum Fikr Rehney Do
Sambhal Jaoon Ga Main Khud Hi
Sabhi Zakhmon Ko Sii Loon Ga
Bhula Kar Saari Baaton Ko
Akaila Bhi Main Jee Loon Ga"
Bohat Hi Be- yaqeen Aakhon Say
Uss Ne Mujh Ko Daikha Aur
Bina Ikk Lafz Boley Woh Gayi Aur Phir Nahin Aayi

Aur Abb Tark-e-Ta'aluq Ko
Agarchey Umar Beeti Hai
Magar Iss Dil Pay Uss Ki Zaat Ka
Jo Naqsh Qaaim Tha
Kabhi Dhundla Nahin Hota
Mujhey Mehsoos Hota Hai
Ke Jaisey Mairey Kaanon Mein
Woh Apni Bolti Aankhon Say
Sargoshi Si Karti Hai

"WO SAB JO KEH RAHEY THAY
KHUD KO WOH SAMJHA BHI PAAYE HO??"

ENIA

No comments: